KHud-kushi
haañ maiñ ne bhī sunā hai tumhāre paḌos meñ
kal raat ek hādsa-e-qatl ho gayā
haañ maiñ ne bhī sunā hai ki ik jaam zahr kā
do jīvanoñ kī nannhī sī naukā Dubo gayā
koī dukhī javān vatan apnā chhoḌ kar
apnī sakhī ke saath ik aur des ko gayā
duniyā ke ḳhārzār meñ sau Thokaroñ ke ba.ad
yuuñ āḳhir un kā qissa-e-ġham ḳhatm ho gayā
yuuñ tai kiyā unhoñ ne mohabbat kā marhala
ek ek ghoñT aur jo honā thā ho gayā
donoñ kī aañkh meñ thā ik ik ashk munjamid
jo ḳhushk ḳhushk palkoñ kī nokeñ bhigo gayā
kuchh kahne paa.ī thī ki vo ḳhāmosh ho ga.ī
koī javāb dene ko thā vo ki so gayā
paimāna-e-ajal kā vo talḳhāba is tarah
rūhoñ ke zaḳhmoñ sīnoñ ke dāġhoñ ko dho gayā
aksar yūñhī huā hai ki ulfat kā imtihāñ
dushvāriyoñ meñ maut kī āsān ho gayā
aao nā ham bhī toḌ deñ is dām-e-zīst ko
sañg-e-ajal pe phoḌ deñ is jām-e-zīst ko
han main ne bhi suna hai tumhaare paDos mein
kal raat ek hadsa-e-qatl ho gaya
han main ne bhi suna hai ki ek jam zahr ka
do jiwanon ki nannhi si nauka Dubo gaya
koi dukhi jawan watan apna chhoD kar
apni sakhi ke sath ek aur des ko gaya
duniya ke KHarzar mein sau Thokaron ke baad
yun aaKHir un ka qissa-e-gham KHatm ho gaya
yun tai kiya unhon ne mohabbat ka marhala
ek ek ghonT aur jo hona tha ho gaya
donon ki aankh mein tha ek ek ashk munjamid
jo KHushk KHushk palkon ki noken bhigo gaya
kuchh kahne pai thi ki wo KHamosh ho gai
koi jawab dene ko tha wo ki so gaya
paimana-e-ajal ka wo talKHaba is tarah
ruhon ke zaKHmon sinon ke daghon ko dho gaya
aksar yunhi hua hai ki ulfat ka imtihan
dushwariyon mein maut ki aasan ho gaya
aao na hum bhi toD den is dam-e-zist ko
sang-e-ajal pe phoD den is jam-e-zist ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.