Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-kushi

Naseem Ansari

KHud-kushi

Naseem Ansari

MORE BYNaseem Ansari

    zamīñ ab chalte chalte thak chukī hai

    samundar ḳhushk hotā rahā hai

    falak bhī kitnā būḌhā ho chukā hai

    sitāre raushnī khone lage haiñ

    ye sayyāre jo gardish kar rahe haiñ

    ye sayyāre zamīñ par aa gireñge

    bikhar jā.egā ye shīrāza ik din

    sabhī zī-rūh saare jānvar insāñ

    ye ik ik saañs māñgeñge zamīñ par

    bigaḌ jā.egā jis din bhī tavāzun

    hamārī kā.enāt-e-rang-o-bū

    zamīñ par husn-e-fitrat ko na kuchlo

    ye puurī nasl-e-ādam ke liye ik ḳhud-kushī hai

    zamin ab chalte chalte thak chuki hai

    samundar KHushk hota ja raha hai

    falak bhi kitna buDha ho chuka hai

    sitare raushni khone lage hain

    ye sayyare jo gardish kar rahe hain

    ye sayyare zamin par aa girenge

    bikhar jaega ye shiraaza ek din

    sabhi zi-ruh sare jaanwar insan

    ye ek ek sans mangenge zamin par

    bigaD jaega jis din bhi tawazun

    hamari kaenat-e-rang-o-bu ka

    zamin par husn-e-fitrat ko na kuchlo

    ye puri nasl-e-adam ke liye ek KHud-kushi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now