KHuda gawah
Interesting Fact
In memory of my late father
ḳhudā gavāh dil ik lamha bhī nahīñ ġhāfil
tumhārī yaad bhī baaqī hai dukh bhī baaqī hai
vo shām-e-ġham bhī usī tarah dil pe qaa.em hai
vo roz-e-saḳht bhī siine meñ dard ban kar hai
jab ek hamla-e-dil tum pe zulm kartā thā
aziim shahr ke markaz meñ ik udaas sā ghar
ilaaj se mahrūm
tumhāre dukh meñ taḌapne ko dekh kar chup thā
to saare shāhī mahallāt shor-e-aish meñ the
mujhe to falsafa-e-sabr bhī gavārā hai
(agarche asl meñ ye qātiloñ kī mantiq hai)
magar ye falsafa us dil ko kaun samjhā.e
jo terī yaad ke ġham ko ḳhudā samajhtā hai
agar ga.e hue ik lamha muḌ ke aa sakte
fanā ke ba.ad dobāra hayāt agar hotī
to maiñ zarūr lipaT kar tumhāre siine se
tamām qissa-e-ġham āñ.suoñ meñ barsātā
magar mujhe to ḳhabar hai ki ye nahīñ mumkin
isī liye mire dil meñ alam bhī baaqī hai
tirī gihād-e-musalsal sī zindagī kī kitāb
mirī hayāt ke ik ik varaq pe likkhī hai
jo tū ne raah meñ chhoḌā thā parcham-e-tag-o-dau
harīf kuchh bhī kaheñ aaj mere haath meñ hai
qarār-e-ḳhātir-e-mahzūñ agar koī shai hai
to usī kā ḳhayāl!
KHuda gawah dil ek lamha bhi nahin ghafil
tumhaari yaad bhi baqi hai dukh bhi baqi hai
wo sham-e-gham bhi usi tarah dil pe qaem hai
wo roz-e-saKHt bhi sine mein dard ban kar hai
jab ek hamla-e-dil tum pe zulm karta tha
azim shahr ke markaz mein ek udas sa ghar
ilaj se mahrum
tumhaare dukh mein taDapne ko dekh kar chup tha
to sare shahi mahallat shor-e-aish mein the
mujhe to falsafa-e-sabr bhi gawara hai
(agarche asl mein ye qatilon ki mantiq hai)
magar ye falsafa us dil ko kaun samjhae
jo teri yaad ke gham ko KHuda samajhta hai
agar gae hue ek lamha muD ke aa sakte
fana ke baad dobara hayat agar hoti
to main zarur lipaT kar tumhaare sine se
tamam qissa-e-gham aansuon mein barsata
magar mujhe to KHabar hai ki ye nahin mumkin
isi liye mere dil mein alam bhi baqi hai
teri gihad-e-musalsal si zindagi ki kitab
meri hayat ke ek ek waraq pe likkhi hai
jo tu ne rah mein chhoDa tha parcham-e-tag-o-dau
harif kuchh bhi kahen aaj mere hath mein hai
qarar-e-KHatir-e-mahzun agar koi shai hai
to usi ka KHayal!
- Book : naquush (Pg. 286)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.