KHuda hamara hai
ḳhudā tumhārā nahīñ hai ḳhudā hamārā hai
use zamīn pe ye zulm kab gavārā hai
lahū piyoge kahāñ tak hamārā dhanvāno
baḌhāo apnī dukāñ sīm-o-zar ke dīvāno
nishāñ kahīñ na rahegā tumhārā shaitāno
hameñ yaqīñ hai ki insān us ko pyārā hai
ḳhudā tumhārā nahīñ hai ḳhudā hamārā hai
use zamīn pe ye zulm kab gavārā hai
na.e shu.ūr kī hai raushnī nigāhoñ meñ
ik aag sī bhī hai ab apnī sard aahoñ meñ
khileñge phuul nazar ke sahar kī bāñhoñ meñ
dukhe diloñ ko isī aas kā sahārā hai
ḳhudā tumhārā nahīñ hai ḳhudā hamārā hai
use zamīn pe ye zulm kab gavārā hai
tilism-e-sāya-e-ḳhauf-o-harās toḌeñge
qadam baḌhā.eñge zanjīr-e-yās toḌeñge
kabhī kisī ke na ham dil kī aas toḌeñge
rahegā yaad jo ahd-e-sitam guzārā hai
use zamīn pe ye zulm kab gavārā hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
lahu piyoge kahan tak hamara dhanwano
baDhao apni dukan sim-o-zar ke diwano
nishan kahin na rahega tumhaara shaitano
hamein yaqin hai ki insan us ko pyara hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
nae shuur ki hai raushni nigahon mein
ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein
khilenge phul nazar ke sahar ki banhon mein
dukhe dilon ko isi aas ka sahaara hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
tilism-e-saya-e-KHauf-o-haras toDenge
qadam baDhaenge zanjir-e-yas toDenge
kabhi kisi ke na hum dil ki aas toDenge
rahega yaad jo ahd-e-sitam guzara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 247)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.