KHuda ka ghar nahin koi
ḳhudā kā ghar nahīñ koī
bahut pahle hamāre gaañv ke akasr buzurgoñ ne
use dekhā thā
puujā thā
yahīñ thā vo
yahīñ bachchoñ kī āñkhoñ meñ
lahakte sabz peḌoñ meñ
vo rahtā thā
havāoñ meñ mahaktā thā
nadī ke saath bahtā thā
hamāre paas vo āñkheñ kahāñ haiñ
jo pahāḌī par
chamaktī
boltī
āvāz ko dekheñ
hamāre kaan bahre haiñ
hamārī ruuh andhī hai
hamāre vāste
ab phuul khilte haiñ
na koñpal gungunātī hai
na ḳhāmoshī akele meñ sunahre giit gaatī hai
hamārā ahd!
maañ ke peT se andhā hai bahrā hai
hamāre aage pīchhe
maut kā tārīk pahrā hai
KHuda ka ghar nahin koi
bahut pahle hamare ganw ke akasr buzurgon ne
use dekha tha
puja tha
yahin tha wo
yahin bachchon ki aankhon mein
lahakte sabz peDon mein
wo rahta tha
hawaon mein mahakta tha
nadi ke sath bahta tha
hamare pas wo aankhen kahan hain
jo pahaDi par
chamakti
bolti
aawaz ko dekhen
hamare kan bahre hain
hamari ruh andhi hai
hamare waste
ab phul khilte hain
na konpal gungunati hai
na KHamoshi akele mein sunahre git gati hai
hamara ahd!
man ke peT se andha hai bahra hai
hamare aage pichhe
maut ka tarik pahra hai
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 321)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.