KHuda ke fazl se huron ke shauhar
ba-zom-e-ḳhvesh apne daur ke suqrāt-e-sānī haiñ
muqaddas log haiñ 'ahmad-razā-ḳhāñ’ kī nishānī haiñ
ġhulāmān-e-rasūlullāh kī takfīr karte haiñ
hamesha inshirāh-e-sadr se taqrīr karte haiñ
zabān-āvar haiñ lekin zāhida parvīn kī lai haiñ
ka.ī nādir kitāboñ ke musannif haiñ baḌī shai haiñ
ra.ūnat se jabīñ meñ zohd ke asrār ghulte haiñ
nigāhoñ ke ġhazab se saiñkaḌoñ alfāz khulte haiñ
takabbur zāviye bantā huā guftār kī lau meñ
hazāroñ ḳhusruoñ kā dabdaba raftār kī ro meñ
zabān-e-shusta-o-rafta pe nastālīq bolī hai
musalle par murādābād ke pānoñ kī Dholī hai
ba-zom-e-ḳhvesh zohd-o-ittiqā ke biij bote haiñ
ḳhudā ke fazl se hūroñ ke shauhar aise hote haiñ
ba-zom-e-KHwesh apne daur ke suqraat-e-sani hain
muqaddas log hain 'ahmad-raza-KHan’ ki nishani hain
ghulaman-e-rasulullah ki takfir karte hain
hamesha inshirah-e-sadr se taqrir karte hain
zaban-awar hain lekin zahida parwin ki lai hain
kai nadir kitabon ke musannif hain baDi shai hain
raunat se jabin mein zohd ke asrar ghulte hain
nigahon ke ghazab se sainkaDon alfaz khulte hain
takabbur zawiye banta hua guftar ki lau mein
hazaron KHusruon ka dabdaba raftar ki ro mein
zaban-e-shusta-o-rafta pe nastaliq boli hai
musalle par muradabaad ke panon ki Dholi hai
ba-zom-e-KHwesh zohd-o-ittiqa ke bij bote hain
KHuda ke fazl se huron ke shauhar aise hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.