KHuda ke nazdik koi kamtar nahin
bachcho ik din nabī hamāre
ma.e sahāba safar ko nikle
vaqt pakāne kā jab aayā
sabhoñ ne apnā haath baḌhāyā
zab.h kisī ne kar lī bakrī
kisī ne fauran khaal nikālī
ik ik kaam kiyā har ik ne
kaam hue yuuñ puure saare
magar rahā lakḌī kā laanā
aap ne chāhā jangal jaanā
aap ko har sāthī ne rokā
kisī kā lekin kahā na maanā
aur jangal ko aap sidhāre
laa.e uThā kar nabī hamāre
dekh ke aḳhlāq un ke pyāre
ḳhush hue sāthī aap ke saare
'jauhar' tum bhī yaad ye rakho
yaksāñ samjho har insāñ ko
bachcho ek din nabi hamare
mae sahaba safar ko nikle
waqt pakane ka jab aaya
sabhon ne apna hath baDhaya
zabh kisi ne kar li bakri
kisi ne fauran khaal nikali
ek ek kaam kiya har ek ne
kaam hue yun pure sare
magar raha lakDi ka lana
aap ne chaha jangal jaana
aap ko har sathi ne roka
kisi ka lekin kaha na mana
aur jangal ko aap sidhaare
lae uTha kar nabi hamare
dekh ke aKHlaq un ke pyare
KHush hue sathi aap ke sare
'jauhar' tum bhi yaad ye rakho
yaksan samjho har insan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.