KHuda ki anty-people policy
ye sab kuchh ham jo karte haiñ
gunāhoñ par gunāheñ
ḳhudā hī chāhtā hogā ki ham aisā kareñ
baġhair us kī razā ke koī pattā hil nahīñ saktā
kahīñ dahqāñ ke khetoñ meñ bhī bārish ho nahīñ saktī
kisī añdhere jangal meñ koī jugnū chamakne se bhī qāsir hai
ye sab kuchh ham jo karte haiñ
gunāhoñ par gunāheñ
ḳhudā hī chāhtā hogā ki ham aisā kareñ
ki ham sab ādam-o-havvā kī aulādeñ
zamīñ par muḳhtalif ḳhānoñ meñ is tarah baTe haiñ
kahīñ maz.hab kī dīvāreñ kahīñ par zaat kā jhagḌā
nigāhoñ par bhī ta.azīreñ
diloñ aur paañv meñ bhī haiñ zanjīreñ
ye sab kuchh ham jo karte haiñ
gunāhoñ par gunāheñ
to aao phir kisī maidān meñ chal kar
ḳhudā kī anty-people policy par
ġham-o-ġhusse kā ham iz.hār hī kar deñ
ḳhudā apnī duā.eñ kyā ḳhabar suntā na suntā ho
use hushiyār hī kar deñ
ye sab kuchh hum jo karte hain
gunahon par gunahen
KHuda hi chahta hoga ki hum aisa karen
baghair us ki raza ke koi patta hil nahin sakta
kahin dahqan ke kheton mein bhi barish ho nahin sakti
kisi andhere jangal mein koi jugnu chamakne se bhi qasir hai
ye sab kuchh hum jo karte hain
gunahon par gunahen
KHuda hi chahta hoga ki hum aisa karen
ki hum sab aadam-o-hawwa ki auladen
zamin par muKHtalif KHanon mein is tarah baTe hain
kahin mazhab ki diwaren kahin par zat ka jhagDa
nigahon par bhi taziren
dilon aur panw mein bhi hain zanjiren
ye sab kuchh hum jo karte hain
gunahon par gunahen
to aao phir kisi maidan mein chal kar
KHuda ki anty-people policy par
gham-o-ghusse ka hum izhaar hi kar den
KHuda apni duaen kya KHabar sunta na sunta ho
use hushiyar hi kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.