KHuda ko kaam karne do
ḳhudā ko kaam karnā hai
ḳhudā ko kaam karne do
ye jo shaitān kī rassī ko us ne Dhiil dī hai
ek mansūba hai us kā
yaqīnan āsmāñ meñ
us ne apne apps kuchh aise
banā.e haiñ
jinheñ bar-vaqt download honā hai
vo sub.h anqarīb aa.egī
jab us kā farishta suur phūñkegā
abhī jo muTThiyoñ ko bhīñch kar
taqrīr karte haiñ
fazā meñ moTe moTe haath lahrā kar
tum ik din dekh pāoge
tumhārā rab
laboñ ko sī ke kin iqdām kī taiyāriyoñ meñ thā
vo harf-e-haq ko sābit kar ke chhoḌegā
in ahl-e-shar ke qadmoñ se zamīñ sarkegī
aur un kī moTī moTī muTThiyoñ se
dhoñs kī miTTī
ret kī mānind jhaḌ jā.egī
bahut be-tāb mat ho tum zarā Thahro
vo din aa.egā jab tum dekh pāoge
ye sab chaupāyoñ kā peshāb-o-gobar bechte rah jā.eñge
tumhāre paas shahriyat ke kāġhaz aap pahuñcheñge
tum duudh meñ Dubkī lagāoge
ḳhudā ko kaam karnā hai
ḳhudā ko kaam karne do
KHuda ko kaam karna hai
KHuda ko kaam karne do
ye jo shaitan ki rassi ko us ne Dhil di hai
ek mansuba hai us ka
yaqinan aasman mein
us ne apne apps kuchh aise
banae hain
jinhen bar-waqt download hona hai
wo subh anqarib aaegi
jab us ka farishta sur phunkega
abhi jo muTThiyon ko bhinch kar
taqrir karte hain
faza mein moTe moTe hath lahra kar
tum ek din dekh paoge
tumhaara rab
labon ko si ke kin iqdam ki taiyariyon mein tha
wo harf-e-haq ko sabit kar ke chhoDega
in ahl-e-shar ke qadmon se zamin sarkegi
aur un ki moTi moTi muTThiyon se
dhons ki miTTi
ret ki manind jhaD jaegi
bahut be-tab mat ho tum zara Thahro
wo din aaega jab tum dekh paoge
ye sab chaupayon ka peshab-o-gobar bechte rah jaenge
tumhaare pas shahriyat ke kaghaz aap pahunchenge
tum dudh mein Dubki lagaoge
KHuda ko kaam karna hai
KHuda ko kaam karne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.