KHuda ko na-pasand hai
zarā bhī jhuuT bolnā
ḳhudā ko nā-pasand hai
kamī ke saath tolnā
ḳhudā ko nā-pasand hai
kisī ke aib kholnā
ḳhudā ko nā-pasand hai
burā.iyāñ TaTolnā
ḳhudā ko nā-pasand hai
diloñ meñ dushmanī rahe
ḳhudā ko nā-pasand hai
ye dushmanī banī rahe
ḳhudā ko nā-pasand hai
har ek se Thanī rahe
ḳhudā ko nā-pasand hai
ye luuT mār-dhāḌ ye
ḳhudā ko nā-pasand hai
har aan chheḌ-chhāḌ ye
ḳhudā ko nā-pasand hai
fasād ye bigāḌ ye
ḳhudā ko nā-pasand hai
badoñ ke sar pe taaj ho
ḳhudā ko nā-pasand hai
burā.iyoñ kā raaj ho
ḳhudā ko nā-pasand hai
hayā na ho na laaj ho
ḳhudā ko nā-pasand hai
zara bhi jhuT bolna
KHuda ko na-pasand hai
kami ke sath tolna
KHuda ko na-pasand hai
kisi ke aib kholna
KHuda ko na-pasand hai
buraiyan TaTolna
KHuda ko na-pasand hai
dilon mein dushmani rahe
KHuda ko na-pasand hai
ye dushmani bani rahe
KHuda ko na-pasand hai
har ek se Thani rahe
KHuda ko na-pasand hai
ye luT mar-dhaD ye
KHuda ko na-pasand hai
har aan chheD-chhaD ye
KHuda ko na-pasand hai
fasad ye bigaD ye
KHuda ko na-pasand hai
badon ke sar pe taj ho
KHuda ko na-pasand hai
buraiyon ka raj ho
KHuda ko na-pasand hai
haya na ho na laj ho
KHuda ko na-pasand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.