KHuda sab kuchh dekhta hai
ḳhudā dekhtā hai mire kaam ko
vo suntā hai kahtā huuñ maiñ baat jo
ḳhudā har jagah hai mujhe dekhtā
mire dil kī bāteñ hai vo jāntā
maiñ huuñ khel meñ yā madrase meñ huuñ
rahūñ apne ghar meñ ki raste meñ huuñ
maiñ sotā huā huuñ ki huuñ jāgtā
akelā mujhe vo nahīñ chhoḌtā
vo nazdīk mere hai rahtā sadā
koī vaqt ho sub.h yā shaam kā
chamaktā vahī hai añdhere meñ bhī
nahīñ duur rahtā hai mujh se kabhī
vo duniyā meñ maujūd hai har kahīñ
ḳhudā se jagah koī ḳhālī nahīñ
ḳhudā kī nazar hai mohabbat bharī
vo hai āsmāñ se mujhe dekhtī
ḳhudā tū mujhe achchhā laḌkā banā
har ik kaam mujh se tū achchhā karā
KHuda dekhta hai mere kaam ko
wo sunta hai kahta hun main baat jo
KHuda har jagah hai mujhe dekhta
mere dil ki baaten hai wo jaanta
main hun khel mein ya madrase mein hun
rahun apne ghar mein ki raste mein hun
main sota hua hun ki hun jagta
akela mujhe wo nahin chhoDta
wo nazdik mere hai rahta sada
koi waqt ho subh ya sham ka
chamakta wahi hai andhere mein bhi
nahin dur rahta hai mujh se kabhi
wo duniya mein maujud hai har kahin
KHuda se jagah koi KHali nahin
KHuda ki nazar hai mohabbat bhari
wo hai aasman se mujhe dekhti
KHuda tu mujhe achchha laDka bana
har ek kaam mujh se tu achchha kara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.