KHuda se kalam
ḳhudā-e-bartar
terī vahdāniyat kī qasam
jab bhī tere aage sar-ba-sujūd huī
to niyyat kī
ki zamīn ke un tamām ḳhudāoñ ko radd kartī huuñ
jo apne ohdoñ ke aage
mujhe jhukāne par ba-zid rahe
ai hamesha rahne vaalī zaat
jab koī jism-e-ḳhākī tāqat ke nashe meñ
kisī kamzor ko kuchaltā hai
tab guzartā vaqt is par bahut hañstā hai
ai rāziq-e-rahīm
ham aise nizām ko bhog rahe haiñ
jahāñ ek kī baqā dūsre kī bhuuk par qābiz hone meñ hai
tū ki vāqif hai diloñ ke bhed se
aise hālāt aa jaate haiñ ki
sach gosha-nashīn ho jaatā hai
sharāfat aur hayā pe
sañg-bārī hotī hai
ai ḳhāliq-e-kā.enāt
tū ne apne kalām meñ zamīn kā dukh bayān kiyā hai
jo an-ginat mazālim apne uupar jheltī hai
is zamīn kī ḳhāmoshī kī qasam
saare zālim apnī dasht apnī saffākiyoñ kā khel rachāte rachāte
ek din zamīn ke andar chale jaate haiñ
ai ḳhudā-e-azīm
ye zamīn merā bichhaunā
maiñ ne us kī ḳhāmushī ko apne siine meñ utārā
tere atā kiye hue hausle ne
mere qadam ukhaḌne nahīñ diye
varna
kisī drill-machine kī tarah
jumle dil meñ sūrāḳh karte ga.e
tashannuj-zada chehroñ par hañsī tab dikhā.ī dī
jab āñkhoñ se ḳhvāb chhīn liye ga.e
ai mere parvardigār
hameñ ek aisā muāshra diyā gayā
jahāñ hamāre phepḌoñ pe paañv rakh ke hukmarānī karne vaale
hamārī saañs ke chalne rukne kā tamāshā dekhte haiñ
tashāma-bīnoñ kī āñkhoñ us ant kī muntazir hotī haiñ
ki jab in se zinda rahne kī bhiik māñgī jaa.e
ai mere ma.abūd
maiñ ne aise hī kagār pe
terī bartarī talab kī
ai mere dukhoñ ke rāz-dāñ
tū vāqif hai
jab mere ird-gird girya-e-vahshat taarī thā
aur mujhe batāyā jā rahā thā
ki sartān mere baap ko khā rahā hai
vo vaqt thā ki na koī harf-e-tasallī kaam aa saktā thā na koī ummīd baaqī rah ga.ī thī
merī āñkheñ ḳhushk thiiñ
mere saare aañsū mere andar girte ga.e
vo vaqt thā mere ma.abūd
jab tū ne mere qalb ko ġham se labrez kar ke
merī tarbiyat kī thī
mujhe bāvar huā
ki aane vaale vaqt meñ qadam qadam pe
mujhe sartān kā sāmān karnā hogā
fiqroñ meñ qahqahoñ meñ
us shaitān ko kañkarī kaun maare
jo tārīk diloñ ke minā meñ baiThā hai
mere maulā
maiñ kisī mo.ajize kī muntazir nahīñ
bas itnī himmat de mujhe
ki tīrgī ke muqābil
raushnī ko hameshgī de duuñ
KHuda-e-bartar
teri wahdaniyat ki qasam
jab bhi tere aage sar-ba-sujud hui
to niyyat ki
ki zamin ke un tamam KHudaon ko radd karti hun
jo apne ohdon ke aage
mujhe jhukane par ba-zid rahe
ai hamesha rahne wali zat
jab koi jism-e-KHaki taqat ke nashe mein
kisi kamzor ko kuchalta hai
tab guzarta waqt is par bahut hansta hai
ai raaziq-e-rahim
hum aise nizam ko bhog rahe hain
jahan ek ki baqa dusre ki bhuk par qabiz hone mein hai
tu ki waqif hai dilon ke bhed se
aise haalat aa jate hain ki
sach gosha-nashin ho jata hai
sharafat aur haya pe
sang-bari hoti hai
ai KHaliq-e-kaenat
tu ne apne kalam mein zamin ka dukh bayan kiya hai
jo an-ginat mazalim apne upar jhelti hai
is zamin ki KHamoshi ki qasam
sare zalim apni dasht apni saffakiyon ka khel rachate rachate
ek din zamin ke andar chale jate hain
ai KHuda-e-azim
ye zamin mera bichhauna
main ne us ki KHamushi ko apne sine mein utara
tere ata kiye hue hausle ne
mere qadam ukhaDne nahin diye
warna
kisi drill-machine ki tarah
jumle dil mein suraKH karte gae
tashannuj-zada chehron par hansi tab dikhai di
jab aankhon se KHwab chhin liye gae
ai mere parwardigar
hamein ek aisa muashra diya gaya
jahan hamare phepDon pe panw rakh ke hukmarani karne wale
hamari sans ke chalne rukne ka tamasha dekhte hain
tashama-binon ki aankhon us ant ki muntazir hoti hain
ki jab in se zinda rahne ki bhik mangi jae
ai mere mabud
main ne aise hi kagar pe
teri bartari talab ki
ai mere dukhon ke raaz-dan
tu waqif hai
jab mere ird-gird girya-e-wahshat tari tha
aur mujhe bataya ja raha tha
ki sartan mere bap ko kha raha hai
wo waqt tha ki na koi harf-e-tasalli kaam aa sakta tha na koi ummid baqi rah gai thi
meri aankhen KHushk thin
mere sare aansu mere andar girte gae
wo waqt tha mere mabud
jab tu ne mere qalb ko gham se labrez kar ke
meri tarbiyat ki thi
mujhe bawar hua
ki aane wale waqt mein qadam qadam pe
mujhe sartan ka saman karna hoga
fiqron mein qahqahon mein
us shaitan ko kankari kaun mare
jo tarik dilon ke mina mein baiTha hai
mere maula
main kisi moajize ki muntazir nahin
bas itni himmat de mujhe
ki tirgi ke muqabil
raushni ko hameshgi de dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.