KHuda se
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vaale
ye kār-gāh-e-hastī bāzār-e-auj-o-pastī
le dekh ho rahī hai bechainiyoñ kī bastī
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vaale
2
phūloñ ke chaak dāmāñ ġhunchoñ meñ soz-e-pinhāñ
gulshan bahār meñ bhī be-kaif-o-dard-sāmāñ
soz-e-darūñ nahīñ hai josh-e-junūñ nahīñ hai
dil hī se āshiqī thī dil hī meñ ḳhuuñ nahīñ hai
paimāne uTh ga.e haiñ maiḳhāne uTh ga.e haiñ
vīrāniyāñ salāmat dīvāne uTh ga.e haiñ
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vaale
3
māmūr-e-ġham hai duniyā dār-e-alam hai duniyā
dām-e-tavañagrī meñ said-e-sitam hai duniyā
aare se chal rahe haiñ naqshe badal rahe haiñ
insāñ kā ḳhuun pī kar insān pal rahe haiñ
mafqūd ḳhurramī hai har bazm mātamī hai
is ġham-kade kī har shai goyā jahannamī hai
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vaale
4
ai kār-sāz-e-ālam ai be-niyāz-e-ālam
ma.amūr-e-soz-e-ġham hai kab se ye sāz-e-ālam
māyūs ho chuke haiñ himmat hī kho chuke haiñ
insāñ bhalā.iyoñ kī qismat ko ro chuke haiñ
barbād ho rahe haiñ nāshād ho rahe haiñ
bande tire sarāpā fariyād ho rahe haiñ
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vaale
5
haivān bhī nahīñ haiñ insān bhī nahīñ haiñ
insāñ-numā darinde shaitān bhī nahīñ haiñ
ye zohd kī dukāneñ ye ma.asiyat kī kāneñ
ye vā.izoñ ke muñh meñ chaltī huī zabāneñ
fir.aun ho rahe haiñ mal.ūn ho rahe haiñ
maz.hab-farosh mullā qārūn ho rahe haiñ
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vaale
6
ai be-niyāz-e-hastī ai kār-sāz-e-hastī
kab tak rahegā yūñhī poshīda rāz-e-hastī
koī nahīñ hamārā koī nahīñ sahārā
kis samt bah rahī hai ye zindagī kī dhārā
fikr-e-davā nahīñ hai zikr-e-duā nahīñ hai
dil kah rahā hai ab to koī ḳhudā nahīñ hai
tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai tujh ko bhī kuchh ḳhabar hai
tujh ko bhi kuchh KHabar hai duniya banane wale
ye kar-gah-e-hasti bazar-e-auj-o-pasti
le dekh ho rahi hai bechainiyon ki basti
tujh ko bhi kuchh KHabar hai duniya banane wale
2
phulon ke chaak daman ghunchon mein soz-e-pinhan
gulshan bahaar mein bhi be-kaif-o-dard-saman
soz-e-darun nahin hai josh-e-junun nahin hai
dil hi se aashiqi thi dil hi mein KHun nahin hai
paimane uTh gae hain maiKHane uTh gae hain
viraniyan salamat diwane uTh gae hain
tujh ko bhi kuchh KHabar hai duniya banane wale
3
mamur-e-gham hai duniya dar-e-alam hai duniya
dam-e-tawanagri mein said-e-sitam hai duniya
aare se chal rahe hain naqshe badal rahe hain
insan ka KHun pi kar insan pal rahe hain
mafqud KHurrami hai har bazm matami hai
is gham-kade ki har shai goya jahannami hai
tujh ko bhi kuchh KHabar hai duniya banane wale
4
ai kar-saz-e-alam ai be-niyaz-e-alam
mamur-e-soz-e-gham hai kab se ye saz-e-alam
mayus ho chuke hain himmat hi kho chuke hain
insan bhalaiyon ki qismat ko ro chuke hain
barbaad ho rahe hain nashad ho rahe hain
bande tere sarapa fariyaad ho rahe hain
tujh ko bhi kuchh KHabar hai duniya banane wale
5
haiwan bhi nahin hain insan bhi nahin hain
insan-numa darinde shaitan bhi nahin hain
ye zohd ki dukanen ye masiyat ki kanen
ye waizon ke munh mein chalti hui zabanen
firaun ho rahe hain malun ho rahe hain
mazhab-farosh mulla qarun ho rahe hain
tujh ko bhi kuchh KHabar hai duniya banane wale
6
ai be-niyaz-e-hasti ai kar-saz-e-hasti
kab tak rahega yunhi poshida raaz-e-hasti
koi nahin hamara koi nahin sahaara
kis samt bah rahi hai ye zindagi ki dhaara
fikr-e-dawa nahin hai zikr-e-dua nahin hai
dil kah raha hai ab to koi KHuda nahin hai
tujh ko bhi kuchh KHabar hai tujh ko bhi kuchh KHabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.