KHuddari
terā ye kahte hue siine meñ dil hiltā nahīñ
ham-nashīñ kyoñ ḳhud-parastāroñ se maiñ miltā nahīñ
pūchhtā hai mujh se is mohmal se fiqre kā javāb
sun kiye detā huuñ maiñ saarī haqīqat be-naqāb
sīna-e-shā.ir meñ pinhāñ jazba-e-ḳhuddār hai
aañkh bhī raushan hai merī ruuh bhī bedār hai
un ke aage ruuh merī pech-o-ḳham khātī rahī
phabtiyāñ kastā rahā dil ruuh sharmātī rahī
sard-mehrī se tamannā-e-dilī shal ho ga.ī
bār-e-ġham se ġhairat-e-taqdīr bojhal ho ga.ī
garmī-e-ḳhurshīd se sonā pighaltā hai kahīñ
jauharī bhī nuqs ke sāñche meñ Dhaltā hai kahīñ
jab ra.ūnat chheḌtī hai ḳhud-parastī kā sitār
bhes meñ aahoñ ke dil hotā hai merā naġhma-bār
qalb merā daulat-e-ehsās kho saktā nahīñ
āb-o-tāb-e-zar meñ ḳhuddārī Dubo saktā nahīñ
miT nahīñ saktā miTā.e se ġhayūrāna-shikoh
kyā banā saktā hai aḳhlāqī darindoñ kā giroh
jazba-e-ġhairat kisī ke paañv paḌ saktā nahīñ
mar to saktā huuñ zamīñ meñ zinda gaḌ saktā nahīñ
rahzan-e-insāniyat rahte haiñ har dam ghaat meñ
apnī azmat kā koī rakhte haiñ pahlū baat meñ
ġhairat-e-muḳhlis halāk-e-jazba-e-pindār ho
ai harīf-e-zehn-o-dil bedār ho bedār ho
un kī behis khaal par koī asar hotā nahīñ
tang-nazroñ meñ haqīqat kā guzar hotā nahīñ
merī tārīḳh-o-adab hī meñ nahīñ alfāz-e-lāf
banda-parvar hai mujhe kam-mā.egī kā e'tirāf
aisī hālat meñ kisī se jhuk ke milnā hai gunāh
ye ḳhulūs-e-be-mahal kartā hai rūhoñ ko siyāh
apnā dil apne hī hāthoñ se masal saktā nahīñ
ham-nashīñ maiñ apnī fitrat ko badal saktā nahīñ
tera ye kahte hue sine mein dil hilta nahin
ham-nashin kyon KHud-parastaron se main milta nahin
puchhta hai mujh se is mohmal se fiqre ka jawab
sun kiye deta hun main sari haqiqat be-naqab
sina-e-shair mein pinhan jazba-e-KHuddar hai
aankh bhi raushan hai meri ruh bhi bedar hai
un ke aage ruh meri pech-o-KHam khati rahi
phabtiyan kasta raha dil ruh sharmati rahi
sard-mehri se tamanna-e-dili shal ho gai
bar-e-gham se ghairat-e-taqdir bojhal ho gai
garmi-e-KHurshid se sona pighalta hai kahin
jauhari bhi nuqs ke sanche mein Dhalta hai kahin
jab raunat chheDti hai KHud-parasti ka sitar
bhes mein aahon ke dil hota hai mera naghma-bar
qalb mera daulat-e-ehsas kho sakta nahin
aab-o-tab-e-zar mein KHuddari Dubo sakta nahin
miT nahin sakta miTae se ghayurana-shikoh
kya bana sakta hai aKHlaqi darindon ka giroh
jazba-e-ghairat kisi ke panw paD sakta nahin
mar to sakta hun zamin mein zinda gaD sakta nahin
rahzan-e-insaniyat rahte hain har dam ghat mein
apni azmat ka koi rakhte hain pahlu baat mein
ghairat-e-muKHlis halak-e-jazba-e-pindar ho
ai harif-e-zehn-o-dil bedar ho bedar ho
un ki behis khaal par koi asar hota nahin
tang-nazron mein haqiqat ka guzar hota nahin
meri tariKH-o-adab hi mein nahin alfaz-e-laf
banda-parwar hai mujhe kam-maegi ka e'tiraf
aisi haalat mein kisi se jhuk ke milna hai gunah
ye KHulus-e-be-mahal karta hai ruhon ko siyah
apna dil apne hi hathon se masal sakta nahin
ham-nashin main apni fitrat ko badal sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.