KHudi ka raaz
merī har fikr meñ tūfān kī tuġhyānī hai
aur mire shauq meñ jazboñ kī farāvānī hai
yuuñ junūñ bahtā hai dariyā kī ravānī jaise
aur mirī soch meñ paltī hai kahānī jaise
maiñ ne to himmat-e-mardān-e-ḳhudā sīkhī hai
maiñ ne TuuTe hue lahjoñ kī duā sīkhī hai
maiñ ne har rañg kī ḳhushbū kī adā sīkhī hai
maiñ ne har zāhir o bātil kā uThāyā parda
aur tasḳhīr-e-zamāna kī lagan dil meñ liye
apne hāthoñ meñ mashaqqat ke kaḌe pahne haiñ
maiñ ne har aql-o-ḳhirad fahm-o-farāsat kā sahārā le kar
yuuñ zamāne ko baratne ke hunar sīkhe haiñ
maiñ ne jaane haiñ sabhī rāz-e-nihāñ aur jahāñ
aur jaanā hai ḳhudī hai to makāñ merā hai
āsmāñ merā
zamīñ merī
jahāñ merā hai
meri har fikr mein tufan ki tughyani hai
aur mere shauq mein jazbon ki farawani hai
yun junun bahta hai dariya ki rawani jaise
aur meri soch mein palti hai kahani jaise
main ne to himmat-e-mardan-e-KHuda sikhi hai
main ne TuTe hue lahjon ki dua sikhi hai
main ne har rang ki KHushbu ki ada sikhi hai
main ne har zahir o baatil ka uThaya parda
aur tasKHir-e-zamana ki lagan dil mein liye
apne hathon mein mashaqqat ke kaDe pahne hain
main ne har aql-o-KHirad fahm-o-farasat ka sahaara le kar
yun zamane ko baratne ke hunar sikhe hain
main ne jaane hain sabhi raaz-e-nihan aur jahan
aur jaana hai KHudi hai to makan mera hai
aasman mera
zamin meri
jahan mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.