khul ja sim-sim
lakaḌhāre
chalo is shahr se
aur shahr ke logoñ se
jitnī duur mumkin ho
nikal jaa.eñ
usī jangal kī jānib
jahāñ se
aa.e the
ham tum
lakaḌhāre
vahīñ kī lakḌiyāñ kāTeñ
vahīñ revaḌ charā.eñ
dhuup se
sabze kā
jo rishta hai
vo rishta ugā.eñ
kueñ ke mīThe paanī se
charāġh apne jalā.eñ
lakaḌhāre
yahāñ to
alī baabā
aur us kā bhaa.ī qāsim
vo marjīna ho yā ho mustafā darzī
ki hoñ chālīs Daaku
sabhī is shahr kī dīvār meñ mahsūr
sim-sim
bhuul baiThe haiñ
lakaḌhāre
tilism-e-shahr meñ un ko
yūñhī hairān pareshān chhoḌ kar nikleñ
usī jañgal kī jānib
jahāñ par
parinde haiñ magar
aise nahīñ haiñ
darinde haiñ magar
aise nahīñ haiñ
lakaDhaare
chalo is shahr se
aur shahr ke logon se
jitni dur mumkin ho
nikal jaen
usi jangal ki jaanib
jahan se
aae the
hum tum
lakaDhaare
wahin ki lakDiyan kaTen
wahin rewaD charaen
dhup se
sabze ka
jo rishta hai
wo rishta ugaen
kuen ke miThe pani se
charagh apne jalaen
lakaDhaare
yahan to
ali baba
aur us ka bhai qasim
wo marjina ho ya ho mustafa darzi
ki hon chaalis Daku
sabhi is shahr ki diwar mein mahsur
sim-sim
bhul baiThe hain
lakaDhaare
tilism-e-shahr mein un ko
yunhi hairan pareshan chhoD kar niklen
usi jangal ki jaanib
jahan par
parinde hain magar
aise nahin hain
darinde hain magar
aise nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.