khuli aankhon ka sapna
havā
miTTī ke soñdhī bū se bojhal
mire chehre ko chhūtī pahlī bārish
vasī.a maidān meñ sabze kā sāgar
saḌak kā ruup
barkhā meñ ujaltā
makāñ sab shahar ke mil kar nahāte
falak bādal zamīñ
biitā zamāna
makāñ galiyāñ shahar
yādoñ kī ḳhushbū
khulī āñkhoñ se sapnā dekhtā huuñ
ḳhalā meñ duur
mirī dastaras se
falak kī vus.atoñ meñ chāñd sūraj
daraḳhshāñ kahkashāñ raushan sitāre
hawa
miTTi ke sondhi bu se bojhal
mere chehre ko chhuti pahli barish
wasia maidan mein sabze ka sagar
saDak ka rup
barkha mein ujalta
makan sab shahar ke mil kar nahate
falak baadal zamin
bita zamana
makan galiyan shahar
yaadon ki KHushbu
khuli aankhon se sapna dekhta hun
KHala mein dur
meri dastaras se
falak ki wusaton mein chand suraj
daraKHshan kahkashan raushan sitare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.