KHurshid-e-mahshar ki lau
aaj ke din na pūchho mire dosto
duur kitne haiñ ḳhushiyāñ manāne ke din
khul ke hañsne ke din giit gaane ke din
pyaar karne ke din dil lagāne ke din
aaj ke din na pūchho mire dosto
zaḳhm kitne abhī baḳht-e-bismil meñ haiñ
dasht kitne abhī rāh-e-manzil meñ haiñ
tiir kitne abhī dast-e-qātil meñ haiñ
aaj kā din zubūñ hai mire dosto
aaj ke din to yuuñ hai mire dosto
jaise dard-o-alam ke purāne nishāñ
sab chale sū-e-dil kārvāñ kārvāñ
haath siine pe rakkho to har ustuḳhāñ
se uThe nāla-e-al-amāñ al-amāñ
aaj ke din na pūchho mire dosto
kab tumhāre lahū ke darīda alam
farq-e-ḳhurshīd-e-mahshar pe hoñge raqam
az-karāñ tā-karāñ kab tumhāre qadam
le ke uTThegā vo bahr-e-ḳhūñ yam ba yam
jis meñ dhul jā.egā aaj ke din kā ġham
saare dard-o-alam saare jaur-o-sitam
duur kitnī hai ḳhurshīd-e-mahshar kī lau
aaj ke din na pūchho mire dosto
aaj ke din na puchho mere dosto
dur kitne hain KHushiyan manane ke din
khul ke hansne ke din git gane ke din
pyar karne ke din dil lagane ke din
aaj ke din na puchho mere dosto
zaKHm kitne abhi baKHt-e-bismil mein hain
dasht kitne abhi rah-e-manzil mein hain
tir kitne abhi dast-e-qatil mein hain
aaj ka din zubun hai mere dosto
aaj ke din to yun hai mere dosto
jaise dard-o-alam ke purane nishan
sab chale su-e-dil karwan karwan
hath sine pe rakkho to har ustuKHan
se uThe nala-e-al-aman al-aman
aaj ke din na puchho mere dosto
kab tumhaare lahu ke darida alam
farq-e-KHurshid-e-mahshar pe honge raqam
az-karan ta-karan kab tumhaare qadam
le ke uTThega wo bahr-e-KHun yam ba yam
jis mein dhul jaega aaj ke din ka gham
sare dard-o-alam sare jaur-o-sitam
dur kitni hai KHurshid-e-mahshar ki lau
aaj ke din na puchho mere dosto
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 443)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.