KHush-amdid
jab koī kaam na ho tab bhī mujhe
sochte rahne kā ik kaam to hai
rāhat o dard se mabsūt koī naam to hai
yūñhī baiThā thā maiñ us naam se vābasta mohabbat ke,
udāsī ke darīche khole
itnī chup thī ki ḳhayālāt kī chaap
apnā ehsās dilātī thī mujhe
be-kalī hasab-e-talab us ne na mil sakne kī
hasb-e-ma.amūl satātī thī mujhe
aur phir phone kī ghanTī khankī
terī āvāz kā jharnā phūTā
aur vo naam mujassam ho kar
mere atrāf meñ chakrāne lagā
maiñ ne dekhā ki mire kamre meñ
be-kalī aur udāsī kā darīcha to koī thā hī nahīñ
jab koi kaam na ho tab bhi mujhe
sochte rahne ka ek kaam to hai
rahat o dard se mabsut koi nam to hai
yunhi baiTha tha main us nam se wabasta mohabbat ke,
udasi ke dariche khole
itni chup thi ki KHayalat ki chap
apna ehsas dilati thi mujhe
be-kali hasab-e-talab us ne na mil sakne ki
hasb-e-mamul satati thi mujhe
aur phir phone ki ghanTi khanki
teri aawaz ka jharna phuTa
aur wo nam mujassam ho kar
mere atraf mein chakrane laga
main ne dekha ki mere kamre mein
be-kali aur udasi ka daricha to koi tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.