KHush-gawar mausam ki aaKHiri satren
Interesting Fact
-1966
māhaul se pare kisī ḳhush-rang jhiil meñ
vo apne narm jism pe qālīn Daale hai
āñkhoñ meñ mausamoñ kī chitā ko sañbhāle hai
koī nahīñ
jo ret pe dozaḳh sañbhāle ho
koī nahīñ
jo āñkhoñ meñ ik jaal taane ho
sardī udaas
jism kī parchhā.īñ bhī udaas
kamre ke niile parde se tanhā.ī noch kar
sochā hai jā basūñ kisī hairān gaañv meñ
jis ke vishāl pyaar kī chhitnār ke tale
mañDlā rahā ho der se
shabnam ke ās-pās
saḌkoñ pe kohrā
yaad kī ma.asūmiyat ke saath
mahaul se pare kisi KHush-rang jhil mein
wo apne narm jism pe qalin Dale hai
aankhon mein mausamon ki chita ko sanbhaale hai
koi nahin
jo ret pe dozaKH sanbhaale ho
koi nahin
jo aankhon mein ek jal tane ho
sardi udas
jism ki parchhain bhi udas
kamre ke nile parde se tanhai noch kar
socha hai ja basun kisi hairan ganw mein
jis ke wishaal pyar ki chhitnar ke tale
manDla raha ho der se
shabnam ke aas-pas
saDkon pe kohra
yaad ki masumiyat ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.