KHush-mizaj doston ka git
savār ho kar savār ho kar
savār ham ho ke jā rahe haiñ
hamārī manzil dhanak kī had tak
paḌosī ham haiñ sabhoñ se achchhe
sabhī haiñ ham ḳhush-mizāj sāthī
hameñ hai pyaar apnī zindagī se
ye giit ham jo sunā rahe haiñ
hai is kā matlab to dosto ye
ki kaise aage baḌhe chaleñ ham
chalo chaleñ ham bidesh yaaro
baḌhe chalo aaj jaldī jaldī
diler ban kar hañsī ḳhushī se
hamārā sāthī hai chhoTā bandar
hamāre sāthī kuchh aur bhī haiñ
hamārā kuttā hamārā totā
hamārī billī hamārā murġhā
sabhī hamāre haiñ dost achchhe
har ek se dostī jo hogī
to is se achchhā mazāq kyā hai
kisī se jhagḌe kī kyā zarūrat
har ek se pyaar ham kareñge
kabhī chalo tum jo ghūmne ko
to dostoñ ko na pīchhe chhoḌo
madad kareñge vo sab tumhārī
maza bhī aa.egā ḳhuub tum ko
chalo chaleñ ham bidesh yaaro
baḌhe chalo aaj jaldī jaldī
diler ban kar hañsī-ḳhushī se
hamārā sāthī hai chhoTā bandar
hamāre sāthī kuchh aur bhī haiñ
hamārā kuttā hamārā totā
hamārī billī hamārā murġhā
sabhī hamāre haiñ dost achchhe
savār ho kar jo gā rahe the
ham ek sundar sā giit apnā
ikaTThe aa.e the ham gharoñ se
ikaTThe vāpas chale gharoñ ko
havā kī lahroñ ne ham ko chūmā
shuāoñ ne ruḳhsatī kahī thī
sabhī ne mil-jul ke giit gaayā
sabhī ne mil kar qadam baḌhāyā
chalo chaleñ ham bidesh yaaro
baḌhe chalo aaj jaldī jaldī
diler ban kar hañsī-ḳhushī se
hamārā sāthī hai chhoTā bandar
hamāre sāthī kuchh aur bhī haiñ
hamārā kuttā hamārā totā
hamārī billī hamārā murġhā
sabhī hamāre haiñ dost achhe
sawar ho kar sawar ho kar
sawar hum ho ke ja rahe hain
hamari manzil dhanak ki had tak
paDosi hum hain sabhon se achchhe
sabhi hain hum KHush-mizaj sathi
hamein hai pyar apni zindagi se
ye git hum jo suna rahe hain
hai is ka matlab to dosto ye
ki kaise aage baDhe chalen hum
chalo chalen hum bidesh yaro
baDhe chalo aaj jaldi jaldi
diler ban kar hansi KHushi se
hamara sathi hai chhoTa bandar
hamare sathi kuchh aur bhi hain
hamara kutta hamara tota
hamari billi hamara murgha
sabhi hamare hain dost achchhe
har ek se dosti jo hogi
to is se achchha mazaq kya hai
kisi se jhagDe ki kya zarurat
har ek se pyar hum karenge
kabhi chalo tum jo ghumne ko
to doston ko na pichhe chhoDo
madad karenge wo sab tumhaari
maza bhi aaega KHub tum ko
chalo chalen hum bidesh yaro
baDhe chalo aaj jaldi jaldi
diler ban kar hansi-KHushi se
hamara sathi hai chhoTa bandar
hamare sathi kuchh aur bhi hain
hamara kutta hamara tota
hamari billi hamara murgha
sabhi hamare hain dost achchhe
sawar ho kar jo ga rahe the
hum ek sundar sa git apna
ikaTThe aae the hum gharon se
ikaTThe wapas chale gharon ko
hawa ki lahron ne hum ko chuma
shuaon ne ruKHsati kahi thi
sabhi ne mil-jul ke git gaya
sabhi ne mil kar qadam baDhaya
chalo chalen hum bidesh yaro
baDhe chalo aaj jaldi jaldi
diler ban kar hansi-KHushi se
hamara sathi hai chhoTa bandar
hamare sathi kuchh aur bhi hain
hamara kutta hamara tota
hamari billi hamara murgha
sabhi hamare hain dost achhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.