KHushbu-e-watan
har taraf mahkī huī mere chaman kī ḳhushbū
hai fazāo meñ azānoñ kī bhajan kī ḳhushbū
mujh ko virse meñ milī gang-o-jaman kī ḳhushbū
merī har saañs meñ bastī hai vatan kī ḳhushbū
chhā.ī rahtī hai mire sar pe ghaTāoñ kī tarah
haañ ye ḳhushbū hai mirī maañ kī duāoñ kī tarah
dil kī duniyā huī gulzār isī ḳhushbū se
shā.erī hai mirī sarshār isī ḳhushbū se
hai ye ra.anā.ī-e-afkār isī ḳhushbū se
hai mo.attar mirā kirdār isī ḳhushbū se
ek din maiñ isī ḳhushbū hī meñ kho jā.ūñgī
oḌh kar ḳhāk-e-vatan ḳhaak meñ so jā.ūñgī
har taraf mahki hui mere chaman ki KHushbu
hai fazao mein azanon ki bhajan ki KHushbu
mujh ko wirse mein mili gang-o-jaman ki KHushbu
meri har sans mein basti hai watan ki KHushbu
chhai rahti hai mere sar pe ghaTaon ki tarah
han ye KHushbu hai meri man ki duaon ki tarah
dil ki duniya hui gulzar isi KHushbu se
shaeri hai meri sarshaar isi KHushbu se
hai ye ranai-e-afkar isi KHushbu se
hai moattar mera kirdar isi KHushbu se
ek din main isi KHushbu hi mein kho jaungi
oDh kar KHak-e-watan KHak mein so jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.