KHushbu ka safar
merī maañ maut kī āġhosh meñ bhī ḳhūbsūrat thī
mujassam shukr-o-īsār-o-vafā
jo zindagī-bhar ḳhud jhulas kar ham ko ThanDī chhāñv dī thī
ab us kī chāñd sī raushan jabīñ par
dard kī gahrī shikan sī aa ga.ī thī
phir bhī us kā zard chehra pur-sukūñ thā
vo jab tak hosh meñ thā
us ke hoñToñ par duā.eñ
us kī āñkhoñ meñ mohabbat thī
mirī maañ maut kī āġhosh meñ bhī ḳhūbsūrat thī
use ik dūsrī duniyā meñ paidā.ish kī jaldī thī
hameñ ye zid ki ham ko chhoḌ kar jaane nahīñ paa.e
usī rassa-kashī meñ
us kā dil aur jism
us ke hoñT us kī ruuh zaḳhmī ho chuke the
chhil chuke the
phir bhī us ne apnā saarā bojh
us palḌe meñ Daalā thā
jahāñ ham sab ikaTThe mil ke us ko apnī duniyā
apnī is be-faiz duniyā meñ ghasīTe jā rahe the
hameñ ma.alūm thā
ye jang haarī jā chukī hai
sab masīhāoñ ke chehroñ par nadāmat hai
ajal ne āfiyat ke saare aDDe phūñk Daale haiñ
magar maidān se paspā.ī kā rasta nahiñ thā
ham us kā haath thāme
un laraztī uñgliyoñ se sabr aur ummīd kā paiġhām sunte the
magar hāthoñ se vo aise nikaltī jā rahī thī
ki jaise bādaloñ kī oT meñ
Dhalte ho.e mahtāb kā paikar saraktā ho
yā koī dast-o-pā saare gañvā kar
āḳhirash mashkīza-e-jāñ apne dāñtoñ se uThā.e
tiir khātā jā rahā ho
aur use ma.alūm ho ḳheme talak aanā nahīñ mumkin
sināñ dil meñ tarāzū ho to sab nā-chār girte haiñ
savāroñ kā to kyā mazkūr hai
rahvār girte haiñ
so vo dast-e-qazā thāme hue ruḳhsat huī ham se
ab ham kab batā paa.e
hameñ us kī abhī kitnī zarūrat thī
mirī maañ baaqī saarī maaoñ jaisī ḳhūb-sūrat thī
meri man maut ki aaghosh mein bhi KHubsurat thi
mujassam shukr-o-isar-o-wafa
jo zindagi-bhar KHud jhulas kar hum ko ThanDi chhanw di thi
ab us ki chand si raushan jabin par
dard ki gahri shikan si aa gai thi
phir bhi us ka zard chehra pur-sukun tha
wo jab tak hosh mein tha
us ke honTon par duaen
us ki aankhon mein mohabbat thi
meri man maut ki aaghosh mein bhi KHubsurat thi
use ek dusri duniya mein paidaish ki jaldi thi
hamein ye zid ki hum ko chhoD kar jaane nahin pae
usi rassa-kashi mein
us ka dil aur jism
us ke honT us ki ruh zaKHmi ho chuke the
chhil chuke the
phir bhi us ne apna sara bojh
us palDe mein Dala tha
jahan hum sab ikaTThe mil ke us ko apni duniya
apni is be-faiz duniya mein ghasiTe ja rahe the
hamein malum tha
ye jang haari ja chuki hai
sab masihaon ke chehron par nadamat hai
ajal ne aafiyat ke sare aDDe phunk Dale hain
magar maidan se paspai ka rasta nahin tha
hum us ka hath thame
un larazti ungliyon se sabr aur ummid ka paigham sunte the
magar hathon se wo aise nikalti ja rahi thi
ki jaise baadalon ki oT mein
Dhalte hoe mahtab ka paikar sarakta ho
ya koi dast-o-pa sare ganwa kar
aaKHirash mashkiza-e-jaan apne danton se uThae
tir khata ja raha ho
aur use malum ho KHeme talak aana nahin mumkin
sinan dil mein taraazu ho to sab na-chaar girte hain
sawaron ka to kya mazkur hai
rahwar girte hain
so wo dast-e-qaza thame hue ruKHsat hui hum se
ab hum kab bata pae
hamein us ki abhi kitni zarurat thi
meri man baqi sari maon jaisi KHub-surat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.