KHushbu
ḳhushbū ke din aur rangoñ kī kuchh rāteñ rah jaatī haiñ
bhīge bhīge se lamhoñ kī barsāteñ rah jaatī haiñ
tham tham jaatī hai sargoshī vaqt guzartā rahtā hai
kaan kī baalī meñ lahrātī kuchh bāteñ rah jaatī haiñ
raat guzar jaatī hai lekin ḳhvāb ruke rahte haiñ vahīñ
jāgtī āñkhoñ meñ aur ḳhvāhish kī sauġhāteñ rah jaatī haiñ
'ġhāziya' lamha ek milan kā aur ḳhazāne yādoñ ke
iid guzar jaatī hai pal meñ rāteñ rah jātīñ haiñ
KHushbu ke din aur rangon ki kuchh raaten rah jati hain
bhige bhige se lamhon ki barsaten rah jati hain
tham tham jati hai sargoshi waqt guzarta rahta hai
kan ki baali mein lahraati kuchh baaten rah jati hain
raat guzar jati hai lekin KHwab ruke rahte hain wahin
jagti aankhon mein aur KHwahish ki saughaten rah jati hain
'ghaziya' lamha ek milan ka aur KHazane yaadon ke
id guzar jati hai pal mein raaten rah jatin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.