KHushbu ki KHushiyan
daraḳhtoñ se patte to har saal girte haiñ
miTTī meñ milne kī ḳhvāhish liye
magar un ko gin gin ke rakhtā hai kaun
safar kī thakan se sarāsīma pattā
jo girtā hai lamhe kī dīvār karke ubuur
bahut duur se aa ke letā hai
miTTī kī ḳhushbū kī ḳhushiyāñ
magar zard rangoñ ke zevar se ārāsta
ye ḳhizāñ kī dulhan
jis kī qismat ke taare
shab-o-roz girte haiñ
dhartī kī āġhosh par
haiñ ye kis ke ishāre
inhī zard rangoñ kī ḳhushbū meñ
shāyad na.ī ḳhvāhishoñ ke ufuq haiñ
na.e chāñd taare
daraKHton se patte to har sal girte hain
miTTi mein milne ki KHwahish liye
magar un ko gin gin ke rakhta hai kaun
safar ki thakan se sarasima patta
jo girta hai lamhe ki diwar karke ubur
bahut dur se aa ke leta hai
miTTi ki KHushbu ki KHushiyan
magar zard rangon ke zewar se aarasta
ye KHizan ki dulhan
jis ki qismat ke tare
shab-o-roz girte hain
dharti ki aaghosh par
hain ye kis ke ishaare
inhi zard rangon ki KHushbu mein
shayad nai KHwahishon ke ufuq hain
nae chand tare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.