KHushbu ki maut
Interesting Fact
(پروینؔ شاکر کی مرگ ناگہانی پر)
mire ḳhudā-e-buzurg-o-bartar
ye sach hai zāt-o-sifāt tū hai
qadīr-e-maut-o-hayāt tū hai
ki ḳhāliq-e-kā.enāt tū hai
tujhī ne zarroñ ko rif.ateñ diiñ
tujhī ne phūloñ ko nik.hateñ diiñ
shajar hajar sab ko azmateñ diiñ
tujhī ne dī thī
hamāre gulshan ko vo kalī bhī
ki jis kī ḳhushbū mashām-e-jāñ meñ utar ga.ī thī
vo mauj-e-pechāñ jo sāhiloñ se guzar ga.ī thī
hurūf ke shahr-e-be-navā meñ
vo narm-rau sūrat-e-sabā thī
ḳhayāl ke dasht-e-be-fazā meñ
vo ik barastī huī ghaTā thī
ik āb-e-jū thī
samundaroñ se jo be-karāñ thī
vo shāḳh-e-gul thī
jo aap hī apnā gulistāñ thī
vo sub.h-e-afkār kī tajallī
jo ḳhud-kalāmī kā aa.ina thī
vo ik shab-e-sa.ad kī ghaḌī jo
shafīq maañ kī koī duā thī
vo ek nannhī shagufta pattī
ye sach hai sadbarg se sivā thī
vo ek māh-e-tamām goyā
hazār anjum kī ik ziyā thī
mire ḳhudā-e-buzurg-o-bartar
tujhe qasam hai
hameñ dobāra
vo ḳhushbuoñ se bharī hañsī de
vo chāñd āñkhoñ kī raushnī de
gulāb lafzoñ kī tāzgī de
bahār mausam kī phir vahī gum-shuda kalī de
ki
us ke jaane se
shahr-e-harf-o-navā kī galiyāñ
bahut hī sunsān ho ga.ī haiñ
ġhazab kī vīrān ho ga.ī haiñ
mere KHuda-e-buzurg-o-bartar
ye sach hai zat-o-sifat tu hai
qadir-e-maut-o-hayat tu hai
ki KHaliq-e-kaenat tu hai
tujhi ne zarron ko rifaten din
tujhi ne phulon ko nikhaten din
shajar hajar sab ko azmaten din
tujhi ne di thi
hamare gulshan ko wo kali bhi
ki jis ki KHushbu masham-e-jaan mein utar gai thi
wo mauj-e-pechan jo sahilon se guzar gai thi
huruf ke shahr-e-be-nawa mein
wo narm-rau surat-e-saba thi
KHayal ke dasht-e-be-faza mein
wo ek barasti hui ghaTa thi
ek aab-e-ju thi
samundaron se jo be-karan thi
wo shaKH-e-gul thi
jo aap hi apna gulistan thi
wo subh-e-afkar ki tajalli
jo KHud-kalami ka aaina thi
wo ek shab-e-sad ki ghaDi jo
shafiq man ki koi dua thi
wo ek nannhi shagufta patti
ye sach hai sadbarg se siwa thi
wo ek mah-e-tamam goya
hazar anjum ki ek ziya thi
mere KHuda-e-buzurg-o-bartar
tujhe qasam hai
hamein dobara
wo KHushbuon se bhari hansi de
wo chand aankhon ki raushni de
gulab lafzon ki tazgi de
bahaar mausam ki phir wahi gum-shuda kali de
ki
us ke jaane se
shahr-e-harf-o-nawa ki galiyan
bahut hi sunsan ho gai hain
ghazab ki viran ho gai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.