KHushbu
koī ḳhushbū sī
ḳhalāoñ ke gahre ghane jañgaloñ meñ chhupī dekhtī hai
ziddī bachche ko jis kā khilaunā nirī dhuul se aT gayā hai
us ke chāñd aur sūraj miTTī meñ rul-mil ga.e haiñ
ghar meñ sannāTā phailā huā hai
kivāḌoñ kī bārīk jhurriyoñ ke pīchhe
koī
paak ma.abūd kī narm āġhosh meñ jal rahā hai
abhī ek lamhe ke zer-e-asar
yakāyak kisī ne zamīñ se bahut duur ūñchā.ī vaale makāñ se
apnī āñkhoñ ke sho.aloñ ko jhaTkā diyā hai
megh kaale barasne lage haiñ
aur ziddī bachcha
miTTī meñ machlā huā
thakele bhare bāzuoñ vaalī maañ ke badan meñ
subakne lagā hai
koi KHushbu si
KHalaon ke gahre ghane jangalon mein chhupi dekhti hai
ziddi bachche ko jis ka khilauna niri dhul se aT gaya hai
us ke chand aur suraj miTTi mein rul-mil gae hain
ghar mein sannaTa phaila hua hai
kiwaDon ki barik jhurriyon ke pichhe
koi
pak mabud ki narm aaghosh mein jal raha hai
abhi ek lamhe ke zer-e-asar
yakayak kisi ne zamin se bahut dur unchai wale makan se
apni aankhon ke shoalon ko jhaTka diya hai
megh kale barasne lage hain
aur ziddi bachcha
miTTi mein machla hua
thakele bhare bazuon wali man ke badan mein
subakne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.