KHushi ka shahr
Interesting Fact
(ادریس بابر کے لئے)
aao mil kar sapnā dekheñ
ulaT palaT kar is duniyā ko
manzar koī apnā dekheñ
vaqt kī ye dīvār girā kar
vaqt se thoḌā aage jā kar
hare bhare maidānoñ vaalā
baḌe baḌe dālānoñ vaalā
duniyā se duur ik kone meñ
shahr ḳhushī kā bastā dekheñ
jis meñ sab ko hañstā dekheñ
aao mil kar sapna dekhen
ulaT palaT kar is duniya ko
manzar koi apna dekhen
waqt ki ye diwar gira kar
waqt se thoDa aage ja kar
hare bhare maidanon wala
baDe baDe dalanon wala
duniya se dur ek kone mein
shahr KHushi ka basta dekhen
jis mein sab ko hansta dekhen
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 83)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.