KHutba-e-zainab
zamīn ab dhamākoñ se chaTaḳhne lagī hai
aur āsmān se toffiyāñ baras rahī haiñ
chīḳhte chīḳhte
merī āvāz kho ga.ī
television ke is shor meñ
ḳhutba-e-'zainab' kaun sune
munājātoñ kā āhang
na.aroñ kī haul-nākī meñ tabdīl ho gayā
mujhe apnī be-ridā.ī kā ġham nahīñ
ki mere bachche apnī jeboñ meñ sho.ale bhar rahe haiñ
zamin ab dhamakon se chaTaKHne lagi hai
aur aasman se toffiyan baras rahi hain
chiKHte chiKHte
meri aawaz kho gai
telewision ke is shor mein
KHutba-e-'zainab' kaun sune
munajaton ka aahang
naron ki haul-naki mein tabdil ho gaya
mujhe apni be-ridai ka gham nahin
ki mere bachche apni jebon mein shoale bhar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.