KHub-surat moze
tum ne mere pahuñchne se pahle
apne ḳhūb-sūrat moze dho kar
apnī balcony meñ balcony par
sūkhne ke liye Daal diye the
ek pyāsī chiḌiyā
balcony par baiThī
us ke qatroñ ko
zamīñ par girne se pahle hī
uchak letī thī
merī aahaT par
vo phir se uḌ ga.ī
tum ne balcony meñ khulne vaalā darvāza band kar diyā
mauzūñ se Tapakne vaalī būñdoñ ko
maiñ tumhārī ham-āġhoshī meñ bhī
der tak suntā rahā
tum ne mere pahunchne se pahle
apne KHub-surat moze dho kar
apni balcony mein balcony par
sukhne ke liye Dal diye the
ek pyasi chiDiya
balcony par baiThi
us ke qatron ko
zamin par girne se pahle hi
uchak leti thi
meri aahaT par
wo phir se uD gai
tum ne balcony mein khulne wala darwaza band kar diya
mauzun se Tapakne wali bundon ko
main tumhaari ham-aghoshi mein bhi
der tak sunta raha
- Book : aaj (Pg. 347)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.