KHub-surat
zamīñ be-dard hai
nā-mehrbāñ hai āsmāñ
aur jism
zanjīroñ meñ jakḌe haiñ
papoToñ meñ chubhan hai
ḳhvāb zaḳhmī haiñ
nahīñ āñkhoñ ko
sukh kī niiñd hāsil ek lamha bhī
fazā be-e'tibārī kī hai yuuñ chhā.ī
vafādārī nahīñ ab dekhtī va.adoñ kā chehra bhī
lahū bhī apnī hurmat hai gañvā baiThā
ḳhudā terī ye duniyā phir bhī behad ḳhūbsūrat hai
hamāre dil meñ phir bhī ārzūeñ jhilmilātī haiñ
zamin be-dard hai
na-mehrban hai aasman
aur jism
zanjiron mein jakDe hain
papoTon mein chubhan hai
KHwab zaKHmi hain
nahin aankhon ko
sukh ki nind hasil ek lamha bhi
faza be-e'tibari ki hai yun chhai
wafadari nahin ab dekhti wadon ka chehra bhi
lahu bhi apni hurmat hai ganwa baiTha
KHuda teri ye duniya phir bhi behad KHubsurat hai
hamare dil mein phir bhi aarzuen jhilmilati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.