KHun-e-tamanna
jal chukī shāḳh-e-nasheman tham chukī bād-e-sumūm
ab havā-e-nau-bahārāñ kausar-afshāñ hai to kyā
kar chukī ḳhūn-e-tamannā tīrgī-e-shām-e-ġham
āsmāñ par ab nayā sūraj daraḳhshāñ hai to kyā
jaam afsurda surāhī sar-nigūñ miinā ḳhamosh
mai-kade meñ ab hujūm-e-mai-gusrārāñ hai to kyā
duur ho saktā nahīñ ai dost qarnoñ kā sukūt
zindagī ab apne barbat par ġhazal-ḳhvāñ hai to kyā
gardish-e-daurāñ pe koī fat.h pā saktā nahīñ
tere lab par shikva-e-ālām-e-daurāñ hai to kyā
munkashif hone ko hai rāz-e-sabāt-e-jāvedāñ
aaj agar shīrāza-e-hastī pareshāñ hai to kyā
kal ye duniyā vādī-e-raqs-o-navā kahlā.egī
aaj agar jaulāñ-gah-e-sailāb-o-tūfāñ hai to kyā
saḌ chuke is ke anāsir haT chukā soz-e-hayāt
ab tujhe fikr-e-ilāj-e-dard-e-insāñ hai to kyā
zindagī kī talḳhiyoñ ne chhīn lī tāb-e-nazar
tuur kī choTī par 'afsar' ab charāġhāñ hai to kyā
jal chuki shaKH-e-nasheman tham chuki baad-e-sumum
ab hawa-e-nau-bahaaran kausar-afshan hai to kya
kar chuki KHun-e-tamanna tirgi-e-sham-e-gham
aasman par ab naya suraj daraKHshan hai to kya
jam afsurda surahi sar-nigun mina KHamosh
mai-kade mein ab hujum-e-mai-gusraran hai to kya
dur ho sakta nahin ai dost qarnon ka sukut
zindagi ab apne barbat par ghazal-KHwan hai to kya
gardish-e-dauran pe koi fath pa sakta nahin
tere lab par shikwa-e-alam-e-dauran hai to kya
munkashif hone ko hai raaz-e-sabaat-e-jawedan
aaj agar shiraaza-e-hasti pareshan hai to kya
kal ye duniya wadi-e-raqs-o-nawa kahlaegi
aaj agar jaulan-gah-e-sailab-o-tufan hai to kya
saD chuke is ke anasir haT chuka soz-e-hayat
ab tujhe fikr-e-ilaj-e-dard-e-insan hai to kya
zindagi ki talKHiyon ne chhin li tab-e-nazar
tur ki choTi par 'afsar' ab charaghan hai to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.