KHun
ḳhuun paanī nahīñ
rang-o-roġhan nahīñ
phir bhī tārīḳh rangīn hai ḳhuun se
aur sahīfe haiñ mahke hue ḳhuun se
ḳhuun se tar hai dāman har ik ḳhuun kā
ḳhuun sab kī ragoñ meñ to hogā zarūr
phir bhī kyoñ ḳhuun kā itnā pyāsā hai ḳhuun
ḳhuun phir ḳhuun kā ḳhuun kartā hai kyoñ
KHun pani nahin
rang-o-roghan nahin
phir bhi tariKH rangin hai KHun se
aur sahife hain mahke hue KHun se
KHun se tar hai daman har ek KHun ka
KHun sab ki ragon mein to hoga zarur
phir bhi kyon KHun ka itna pyasa hai KHun
KHun phir KHun ka KHun karta hai kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.