KHuni qila
bahut hī saḳht bahut hī tavīl hai ye ghaḌī
is ahd-e-qahqarī kā har qadam hai ek sadī
ye ahd jis pe ka.ī nasloñ kī hai gard paḌī
ye pīr-zāl ye qila kanār āb-e-ravāñ
bhaḌakte sholoñ ke mānind jis kā har gumbad
ye kañgare haiñ ki haiñ bhaTTiyoñ ke añgāre
jalā ke rakh diye jin kī tapish ne lākhoñ makāñ
ye hai alāmat-e-fistā.iyat girāo se
hamāre bachchoñ ke schōl se haTāo ise
ye ḳhūnī-qila kā phāTak hai yā dahān-e-jahīm
fasīl-e-sañg ibārat hai ḳhuuñ ke dhabboñ se
diye lahūñ ke farozāñ kiye hue har taaq
hai jin ke sāmne ḳhīra talā o gauhar o siim
sadā-e-raqs nikaltī huī jharoñkoñ se
kisī hasīna-e-fir.aun kā mahal jaise
sutūn marmarīñ añgḌā.ī le ke niiñd meñ chuur
libās-e-barahnagī meñ nihāñ qalo-patra
miyān-e-nīl koī laash dekh kar hañs de
is ahd-e-qahqarī kā har qadam hai ek sadī
bahut hī saḳht bahut hī tavīl hai ye ghaḌī
naddī ye hai ki zamīñ par hai ek laash paḌī
bahut hi saKHt bahut hi tawil hai ye ghaDi
is ahd-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi
ye ahd jis pe kai naslon ki hai gard paDi
ye pir-zal ye qila kanar aab-e-rawan
bhaDakte sholon ke manind jis ka har gumbad
ye kangare hain ki hain bhaTTiyon ke angare
jala ke rakh diye jin ki tapish ne lakhon makan
ye hai alamat-e-fistaiyat girao se
hamare bachchon ke school se haTao ise
ye KHuni-qila ka phaTak hai ya dahan-e-jahim
fasil-e-sang ibarat hai KHun ke dhabbon se
diye lahun ke farozan kiye hue har taq
hai jin ke samne KHira tala o gauhar o sim
sada-e-raqs nikalti hui jharonkon se
kisi hasina-e-firaun ka mahal jaise
sutun marmarin angDai le ke nind mein chur
libas-e-barahnagi mein nihan qalo-patra
miyan-e-nil koi lash dekh kar hans de
is ahd-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi
bahut hi saKHt bahut hi tawil hai ye ghaDi
naddi ye hai ki zamin par hai ek lash paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.