khunTi par laTka hua badan
shaam hote hī maiñ
pasīne meñ bhīgā huā badan
khūñTī se laTkā detā huuñ
din bhar kī kamā.ī dekhne ke liye
jebeñ TaToltā huuñ to ḳhālī haath
jeboñ se bāhar gir paḌte haiñ
sochtā huuñ
pachās se uupar kā ho chukā huuñ
merā mustaqbil kyā hogā
aane vaalī nasl ko kyā muñh dikhā.ūñgā
pasīne meñ bhīgā huā badan
dhone se Dartā huuñ
ki aane vaale merī mehnat kī nishānī māñgeñge
to kyā dikhā.ūñgā
khūñTī par laTkā huā badan
saarī raat mujhe ghūrtā rahtā hai
ḳhālī haath
chārpā.ī ke nīche paḌe rahte haiñ
sub.h hone par
badan khūñTī se utārtā huuñ
haath chārpā.ī ke nīche se uThātā huuñ
darvāza kholtā huuñ
din apnī puurī saffākī ke saath
ek baar phir mere muqābil khaḌā hotā hai
sham hote hi main
pasine mein bhiga hua badan
khunTi se laTka deta hun
din bhar ki kamai dekhne ke liye
jeben TaTolta hun to KHali hath
jebon se bahar gir paDte hain
sochta hun
pachas se upar ka ho chuka hun
mera mustaqbil kya hoga
aane wali nasl ko kya munh dikhaunga
pasine mein bhiga hua badan
dhone se Darta hun
ki aane wale meri mehnat ki nishani mangenge
to kya dikhaunga
khunTi par laTka hua badan
sari raat mujhe ghurta rahta hai
KHali hath
chaarpai ke niche paDe rahte hain
subh hone par
badan khunTi se utarta hun
hath chaarpai ke niche se uThata hun
darwaza kholta hun
din apni puri saffaki ke sath
ek bar phir mere muqabil khaDa hota hai
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 322)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.