KHwab aasmanon se
ḳhvāb āsmānoñ se
reñgtī chīñTī sī zindagī
duniyā sameTe dil
aur chāk-dāman ke chand chīthḌe
ummīd barqarār phir bhī
aur mausam se Dhal rahe irāde
do ghaḌī aur silsila shāyad
dam nikalne meñ rah gayā hogā
aise logoñ kī zindagī kyā hai
marne ke ba.ad un kā kyā hogā
marne ke ba.ad sab kā kyā hogā
aur phir ye gumāñ guzartā hai
ki āsmānoñ meñ koī to hogā
jo is taraf bhī dekhtā hogā
jo chīñTī kī zaat se le kar
āsmānoñ ko dekhtā hogā
aur apne kiye pe ḳhud aksar
kuchh to zarūr sochtā hogā
KHwab aasmanon se
rengti chinTi si zindagi
duniya sameTe dil
aur chaak-daman ke chand chithDe
ummid barqarar phir bhi
aur mausam se Dhal rahe irade
do ghaDi aur silsila shayad
dam nikalne mein rah gaya hoga
aise logon ki zindagi kya hai
marne ke baad un ka kya hoga
marne ke baad sab ka kya hoga
aur phir ye guman guzarta hai
ki aasmanon mein koi to hoga
jo is taraf bhi dekhta hoga
jo chinTi ki zat se le kar
aasmanon ko dekhta hoga
aur apne kiye pe KHud aksar
kuchh to zarur sochta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.