KHwab dekhta hun
maiñ ik hasīñ ḳhvāb dekhtā huuñ
maiñ dekhtā huuñ
vo kisht-e-vīrāñ
ki sālhā-sāl se
jo abr ko bhī taras rahī thī
vo kisht-e-vīrāñ
ki jis ke lab ḳhushk ho chuke the
jo abr-e-naisāñ kī muntazar thī
jo kitnī sadiyoñ se
bād-o-bārāñ kī muntazir thī
maiñ dekhtā huuñ
us apnī maġhmūm kisht-e-vīrāñ pe
kuchh ghaTā nahīñ
jo aaj lahrā ke chhā ga.ī haiñ
ye sard havā ke jhoñke
na ruk sake jo kisī ke roke
zarā tamāzat jo kam huī hai
hayāt kuchh mohtaram huī hai
maiñ ik hasīñ ḳhvāb dekhtā huuñ
maiñ dekhtā huuñ
ki jaise shab kī siyāh chādar
simaT rahī hai
vo tīrgī
ham jise muqaddar samajh chuke the
vo chhaT rahī hai
maiñ dekhtā huuñ
ki sub.h-e-fardā
hazār ra.anā.iyāñ jilau meñ
liye muskurā rahī hai
maiñ dekhtā huuñ
jabīñ ufuq kī jo nūr-e-fardā se hai munavvar
sahar kā paiġhām de rahī hai
jo raushnī kā
jo zindagī kā
har ik ko in.aam de rahī hai
main ek hasin KHwab dekhta hun
main dekhta hun
wo kisht-e-viran
ki salha-sal se
jo abr ko bhi taras rahi thi
wo kisht-e-viran
ki jis ke lab KHushk ho chuke the
jo abr-e-naisan ki muntazar thi
jo kitni sadiyon se
baad-o-baran ki muntazir thi
main dekhta hun
us apni maghmum kisht-e-viran pe
kuchh ghaTa nahin
jo aaj lahra ke chha gai hain
ye sard hawa ke jhonke
na ruk sake jo kisi ke roke
zara tamazat jo kam hui hai
hayat kuchh mohtaram hui hai
main ek hasin KHwab dekhta hun
main dekhta hun
ki jaise shab ki siyah chadar
simaT rahi hai
wo tirgi
hum jise muqaddar samajh chuke the
wo chhaT rahi hai
main dekhta hun
ki subh-e-farda
hazar ranaiyan jilau mein
liye muskura rahi hai
main dekhta hun
jabin ufuq ki jo nur-e-farda se hai munawwar
sahar ka paigham de rahi hai
jo raushni ka
jo zindagi ka
har ek ko inam de rahi hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 156)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.