KHwab-e-sarab
ab jo socheñ bhī to ḳhauf aatā hai
kis qadar ḳhvāb the jo ḳhvāb rahe
kis qadar naqsh the jo naqsh sar-e-āb rahe
kis qadar log the jo
dil kī dahlīz pe dastak kī tarah rahte the aur nāyāb rahe
kis qadar rañg the jo
band galiyoñ ke ḳham-o-pech meñ chakrāte rahe
apne hone kī tab-o-tāb meñ lahrāte rahe
par kabhī aap se bāhar na hue
phuul ke haath meñ zāhir na hue
dil ke girdāb meñ TuuTe hue pattoñ kī tarah hama-tan raqs rahe
ḳhuuñ be-nām sitāroñ kī tarah aks dar aks rahe
kaise ādarsh the jin ke saa.e
sansanāte hue tīroñ kī tarah chalte the
hast aur niist ke mābain ajab rishta thā
ruuh kī aag bhaḌaktī to badan jalte the
vo shab-o-roz the kyā
jab kisī ḳhvāhish bedār kī tuġhyānī meñ
vaqt kī qaid se lamhāt nikal jaate the
ḳhuuñ meñ jab bhī sulagtā thā irāda koī
āhanī tauq tamāzat se pighal jaate the
2
aañkh ke dasht meñ ab laakh alaav dekheñ
ruuh kī barf pighaltī hī nahīñ
ab vo ādarsh kabhī
vaqt kī ret se jhāñkeñ bhī to yuuñ jhāñkte haiñ
jis tarah TūTtā taarā koī
ek lamhe ke liye kauñd ke chhup jaatā hai
kis qadar ḳhvāb the jo ḳhvāb rahe
ab jo socheñ bhī to ḳhauf aatā hai
ab jo sochen bhi to KHauf aata hai
kis qadar KHwab the jo KHwab rahe
kis qadar naqsh the jo naqsh sar-e-ab rahe
kis qadar log the jo
dil ki dahliz pe dastak ki tarah rahte the aur nayab rahe
kis qadar rang the jo
band galiyon ke KHam-o-pech mein chakraate rahe
apne hone ki tab-o-tab mein lahraate rahe
par kabhi aap se bahar na hue
phul ke hath mein zahir na hue
dil ke girdab mein TuTe hue patton ki tarah hama-tan raqs rahe
KHun be-nam sitaron ki tarah aks dar aks rahe
kaise aadarsh the jin ke sae
sansanate hue tiron ki tarah chalte the
hast aur nist ke mabain ajab rishta tha
ruh ki aag bhaDakti to badan jalte the
wo shab-o-roz the kya
jab kisi KHwahish bedar ki tughyani mein
waqt ki qaid se lamhat nikal jate the
KHun mein jab bhi sulagta tha irada koi
aahani tauq tamazat se pighal jate the
2
aankh ke dasht mein ab lakh alaw dekhen
ruh ki barf pighalti hi nahin
ab wo aadarsh kabhi
waqt ki ret se jhanken bhi to yun jhankte hain
jis tarah TuTta tara koi
ek lamhe ke liye kaund ke chhup jata hai
kis qadar KHwab the jo KHwab rahe
ab jo sochen bhi to KHauf aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.