KHwab ghar
ab yahāñ maiñ huuñ sirf maiñ
is bikhre sāmān darmiyān
tum tumhīñ to ghar thā
ghar thā to zindagī bhar se rahne kī ummīd
har sub.h paa.el kī jhankār ummīd
har sub.h tumhārī ḳhushbū bhare bistar meñ pyālī chaa.e par
guzarte vaqtoñ kī bāteñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ bāteñ jīteñ māteñ
tum binā suune ghar meñ tumhāre pairoñ kī chaap ke ḳhvāb
ye chaap ab jahāñ gūñjtī hai
tumhāre pair jis makān meñ farsh-e-zamīn ko chhūte haiñ
vo makān merā ghar nahīñ
merā ghar to bas ye ḳhvāb haiñ
bikhre sāmān darmiyān bikharte ḳhvāb
jinheñ telephone line par sunñā sunānā terī merī sazā hai
ab yahan main hun sirf main
is bikhre saman darmiyan
tum tumhin to ghar tha
ghar tha to zindagi bhar se rahne ki ummid
har subh pael ki jhankar ummid
har subh tumhaari KHushbu bhare bistar mein pyali chae par
guzarte waqton ki baaten
aankhon aankhon mein baaten jiten maten
tum bina sune ghar mein tumhaare pairon ki chap ke KHwab
ye chap ab jahan gunjti hai
tumhaare pair jis makan mein farsh-e-zamin ko chhute hain
wo makan mera ghar nahin
mera ghar to bas ye KHwab hain
bikhre saman darmiyan bikharte KHwab
jinhen telephone line par sunna sunana teri meri saza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.