KHwab ek parinda hai
ḳhvāb ik parinda hai
aañkh ke qafas meñ ye
jab talak muqayyad hai
aks ban ke zinda hai
ḳhvāb ik parinda hai
ḳhvāb ik parinda hai
zard mausamoñ meñ bhī
ḳhush-gavār yādoñ ko
tāza-kār rakhtā hai
aane vaale mausam ke
giit gungunātā hai
shāḳh shāḳh par mahke
phuul chun ke laatā hai
aur phir havā ke dosh
ḳhushbuoñ kā sāthī hai
ḳhvāb ik parinda hai
ḳhvāb ik parinda hai
ziist ke samundar meñ
ḳhvāhisheñ jazīra haiñ
aur is jazīre meñ
ḳhauf kā añdherā hai
aur is añdhere meñ
ḳhvāb sā parinda hai
sub.h kā sitāra hai
din kā isti.āra hai
KHwab ek parinda hai
aankh ke qafas mein ye
jab talak muqayyad hai
aks ban ke zinda hai
KHwab ek parinda hai
KHwab ek parinda hai
zard mausamon mein bhi
KHush-gawar yaadon ko
taza-kar rakhta hai
aane wale mausam ke
git gungunata hai
shaKH shaKH par mahke
phul chun ke lata hai
aur phir hawa ke dosh
KHushbuon ka sathi hai
KHwab ek parinda hai
KHwab ek parinda hai
zist ke samundar mein
KHwahishen jazira hain
aur is jazire mein
KHauf ka andhera hai
aur is andhere mein
KHwab sa parinda hai
subh ka sitara hai
din ka istiara hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 507)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.