KHwab jalte hue
mohabbat kā naġhma sunāo to jānūñ
qarīb aa ke phir muskurāo to jānūñ
ye maanā ki tum ġhair kī ho chukī ho
mujhe yaad bhī ab na aao to jānūñ
tumheñ dahr kī saarī ḳhushiyāñ mubārak
mujhe āñdhiyāñ ġham kī raas aa ga.ī haiñ
azal se jo haiñ āshiqoñ kā muqaddar
vo māyūsiyāñ mere paas aa ga.ī haiñ
maiñ sāhil se ukhḌā to ab jaan paayā
ki sāhil ko kyoñ DhūñDhtā hai zamāna
jo himmat se tūfāñ kā muñh moḌte haiñ
hai un kā muqaddar bhī kyoñ Duub jaanā
mirī ziist hai barf kā ek tuuda
samundar meñ jo vaqt ke bah rahā hai
mirī bebasī kā ġham-āgīñ fasāna
zabān-e-ḳhamoshī se vo kah rahā hai
sharāb-e-masarrat se labrez thiiñ jo
in āñkhoñ meñ vīrāniyāñ chhā rahī haiñ
kiyā tū ne jis din se qat-e-ta.alluq
mire sar pe āfāt mañDlā rahī haiñ
haqā.eq ke ḳhuñḳhār sho.aloñ meñ ab to
shuā.eñ sahar kī Dhalī jā rahī haiñ
mire ḳhūb-sūrat se ḳhvāboñ kī fasleñ
tamāzat se un kī jalī jā rahī haiñ
mohabbat ka naghma sunao to jaanun
qarib aa ke phir muskurao to jaanun
ye mana ki tum ghair ki ho chuki ho
mujhe yaad bhi ab na aao to jaanun
tumhein dahr ki sari KHushiyan mubarak
mujhe aandhiyan gham ki ras aa gai hain
azal se jo hain aashiqon ka muqaddar
wo mayusiyan mere pas aa gai hain
main sahil se ukhDa to ab jaan paya
ki sahil ko kyon DhunDhta hai zamana
jo himmat se tufan ka munh moDte hain
hai un ka muqaddar bhi kyon Dub jaana
meri zist hai barf ka ek tuda
samundar mein jo waqt ke bah raha hai
meri bebasi ka gham-agin fasana
zaban-e-KHamoshi se wo kah raha hai
sharab-e-masarrat se labrez thin jo
in aankhon mein viraniyan chha rahi hain
kiya tu ne jis din se qat-e-talluq
mere sar pe aafat manDla rahi hain
haqaeq ke KHunKHar shoalon mein ab to
shuaen sahar ki Dhali ja rahi hain
mere KHub-surat se KHwabon ki faslen
tamazat se un ki jali ja rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.