KHwab ka raqs
kyoñ mire ḳhvāb ko dhuñdlāte ho
ḳhvāb
añgḌā.ī hai
thartharāte hue paañv
biitī āvāzoñ kī lahreñ
aur bal khātā huā sīmīñ badan
jis ke ik ik ang meñ mere lahū kī dhaḌkan
āsmānoñ kī taraf uThte hue vo marmarīñ baazū
kisī shāhīn kī parvāz
aur hāthoñ kī poroñ se shuāoñ kī phuvār
ḳhvāb ko añgḌā.iyoñ kī ek bal khātī huī parvāz banñe do
jo mere ḳhvāb ko dhuñdlāoge
to TukḌe TukḌe ho ke tum ḳhud munjamid ho jāoge
yā biitī āvāzoñ meñ Dūboge
yā apne ḳhuun ke is tez dhāre hī meñ bah jāoge
yā jaltī shuāoñ kī tamāzat meñ bhasm ho jāoge
kyon mere KHwab ko dhundlate ho
KHwab
angDai hai
thartharaate hue panw
biti aawazon ki lahren
aur bal khata hua simin badan
jis ke ek ek ang mein mere lahu ki dhaDkan
aasmanon ki taraf uThte hue wo marmarin bazu
kisi shahin ki parwaz
aur hathon ki poron se shuaon ki phuwar
KHwab ko angDaiyon ki ek bal khati hui parwaz banne do
jo mere KHwab ko dhundlaoge
to TukDe TukDe ho ke tum KHud munjamid ho jaoge
ya biti aawazon mein Duboge
ya apne KHun ke is tez dhaare hi mein bah jaoge
ya jalti shuaon ki tamazat mein bhasm ho jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.