KHwab-kar
maiñ ne ḳhvāboñ ke hasīñ jaal bune
chāñdnī shab kī bahāroñ meñ kabhī
sub.h ke phaile chanāroñ meñ kabhī
din ke hangāmoñ ke har pahlū meñ
shaam ke baḌhte hue jaadū meñ
maiñ ne jab chāhā na.e phuul chune
maiñ ne ḳhvāboñ ke hasīñ jaal bune
apne har ḳhvāb meñ paayā tum ko
maañd karte hue tāroñ ke diye
gungunāte hue chashmoñ ko liye
muskurāte hue paas aate hue
dām-e-āġhosh meñ rah jaate hue
maiñ ne yuuñ apnā banāyā tum ko
apne har ḳhvāb meñ paayā tum ko
ik girāñ lamhe kī rau meñ ik din
tum ko afsāna sunāyā apnā
raaz koī na chhupāyā apnā
apne ḳhvāboñ kī dikhā.ī duniyā
ārzūoñ se sajā.ī duniyā
husn-e-gul-rang kī zau meñ ik din
ik girāñ lamhe kī rau meñ ik din
tum ne kyā samjhā na jaanā barsoñ
maiñ fusūñ-sāz bahānoñ meñ rahā
dhyān ke lākhoñ Thikānoñ meñ rahā
har kaThin raah ko āsāñ dekhā
hasratoñ ko bhī ġhazal-ḳhvāñ dekhā
yaad aayā vo zamāna barsoñ
tum ne kyā samjhā na jaanā barsoñ
ab na vo ḳhvāb na vo bāteñ haiñ
tum bhī pahle se nahīñ ho shāyad
apnī fitrat se qarīñ ho shāyad
vaqt ne manzileñ kī haiñ kyā tai
mujh se begāna huī hai har shai
har taraf phailī siyah rāteñ haiñ
ab na vo ḳhvāb na vo bāteñ haiñ
main ne KHwabon ke hasin jal bune
chandni shab ki bahaaron mein kabhi
subh ke phaile chanaron mein kabhi
din ke hangamon ke har pahlu mein
sham ke baDhte hue jadu mein
main ne jab chaha nae phul chune
main ne KHwabon ke hasin jal bune
apne har KHwab mein paya tum ko
mand karte hue taron ke diye
gungunate hue chashmon ko liye
muskuraate hue pas aate hue
dam-e-aghosh mein rah jate hue
main ne yun apna banaya tum ko
apne har KHwab mein paya tum ko
ek giran lamhe ki rau mein ek din
tum ko afsana sunaya apna
raaz koi na chhupaya apna
apne KHwabon ki dikhai duniya
aarzuon se sajai duniya
husn-e-gul-rang ki zau mein ek din
ek giran lamhe ki rau mein ek din
tum ne kya samjha na jaana barson
main fusun-saz bahanon mein raha
dhyan ke lakhon Thikanon mein raha
har kaThin rah ko aasan dekha
hasraton ko bhi ghazal-KHwan dekha
yaad aaya wo zamana barson
tum ne kya samjha na jaana barson
ab na wo KHwab na wo baaten hain
tum bhi pahle se nahin ho shayad
apni fitrat se qarin ho shayad
waqt ne manzilen ki hain kya tai
mujh se begana hui hai har shai
har taraf phaili siyah raaten hain
ab na wo KHwab na wo baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.