KHwab-kadon se wapsi
ai mere badan se lipTī hijrat kī sarshārī!
ḳhvāhish kī be-samt jihat ke kahne meñ mat aa
mere bāzuoñ meñ quvvat to hai
jo sūkhe samundar meñ tairtī kashtī ke patvār meñ utrī hai
lekin merī Tāñgoñ meñ
harkat ke codes musalsal marte jaate haiñ
guuñj ek bahāo meñ merī jānib baḌhtī hai
aur ḳhāmoshī...
chehre ke ḳhāl-o-ḳhat se noch ke le jaatī hai
maiñ rafta rafta
ḳhvāhish ke ambār meñ girtā jaatā huuñ
niiñd kī tuġhyānī meñ bahtā jaatā huuñ
phir sehan ke nal se bahte paanī kī āvāz
mire raste par
sargoshī pheñk ke jaatī hai
mujh ko ḳhvāb-kadoñ kī hairat se vāpas le aatī hai
ai mere badan se lipTi hijrat ki sarshaari!
KHwahish ki be-samt jihat ke kahne mein mat aa
mere bazuon mein quwwat to hai
jo sukhe samundar mein tairti kashti ke patwar mein utri hai
lekin meri Tangon mein
harkat ke codes musalsal marte jate hain
gunj ek bahao mein meri jaanib baDhti hai
aur KHamoshi
chehre ke KHal-o-KHat se noch ke le jati hai
main rafta rafta
KHwahish ke ambar mein girta jata hun
nind ki tughyani mein bahta jata hun
phir sehan ke nal se bahte pani ki aawaz
mere raste par
sargoshi phenk ke jati hai
mujh ko KHwab-kadon ki hairat se wapas le aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.