KHwab ke aaKHiri hisse mein
jism be-jān hai patthar sī banī haiñ āñkheñ
aur ik ḳhauf kā malbūs pahan kar koī
ghūrtā rahtā hai
har-vaqt ḳhalā meñ shāyad
ā.īna-ḳhānoñ kī
maqhūr-numā chāhat meñ
aks-dar-aks bikhartī huī parchhā.iyāñ haiñ
aur sannāToñ kī
gambhīr sadā hai har-sū
shāḳh-dar-shāḳh ḳhizāñ nauha-kunāñ hai har-sū
aise māhaul meñ jiinā bhī hai
ḳhvāb ke āḳhirī hisse meñ
husain-ibn-e-alī
ek paiġhām yahī de ke guzar jaate haiñ
jism be-jaan hai patthar si bani hain aankhen
aur ek KHauf ka malbus pahan kar koi
ghurta rahta hai
har-waqt KHala mein shayad
aaina-KHanon ki
maqhur-numa chahat mein
aks-dar-aks bikharti hui parchhaiyan hain
aur sannaTon ki
gambhir sada hai har-su
shaKH-dar-shaKH KHizan nauha-kunan hai har-su
aise mahaul mein jina bhi hai
KHwab ke aaKHiri hisse mein
husain-ibn-e-ali
ek paigham yahi de ke guzar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.