KHwab ki duniya
khetoñ kī pagDanDī par
do nanhe nanhe paañv
harī ghaas se uljheñ
bhāgte jaa.eñ bhāgte jaa.eñ
ruk kar dekheñ
chāñd nagar meñ baiThī buḌhiyā
koī raag alāpe
chhan chhan karte
saare ghuñghrū
ek taal se boleñ
būjho bachcho merī pahelī
kyā hai is kā bhed
bādal kī khiḌkī se
saare taare girte jaa.eñ
aur jugnū ban jaa.eñ
duur khaḌe do pyāre bachche
hoñToñ meñ batlā.eñ
iThlā.eñ sharmā.eñ
khetoñ kī pag-DanDī par
do nanhe nanhe paañv
kheton ki pagDanDi par
do nanhe nanhe panw
hari ghas se uljhen
bhagte jaen bhagte jaen
ruk kar dekhen
chand nagar mein baiThi buDhiya
koi rag alape
chhan chhan karte
sare ghunghru
ek tal se bolen
bujho bachcho meri paheli
kya hai is ka bhed
baadal ki khiDki se
sare tare girte jaen
aur jugnu ban jaen
dur khaDe do pyare bachche
honTon mein batlaen
iThlaen sharmaen
kheton ki pag-DanDi par
do nanhe nanhe panw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.