KHwab ki tarah se yaad hai
ḳhvāb kī tarah se hai yaad ki tum aa.e the
jis tarah dāman-e-mashriq meñ sahar hotī hai
zarre zarre ko tajallī kī ḳhabar hotī hai
aur jab nuur kā sailāb guzar jaatā hai
raat bhar ek añdhere meñ basar hotī hai
kuchh isī tarah se hai yaad ki tum aa.e the
jaise gulshan meñ dabe paañv bahār aatī hai
pattī pattī ke liye le ke nikhār aatī hai
aur phir vaqt vo aatā hai ki har mauj-e-sabā
apne dāman meñ liye gard-o-ġhubār aatī hai
kuchh isī tarah se hai yaad ki tum aa.e the
jis tarah mahv-e-safar ho koī vīrāne meñ
aur raste meñ kahīñ koī ḳhayābāñ aa jaa.e
chand lamhoñ meñ ḳhayābāñ ke guzar jaane par
sāmne phir vahī duniyā-e-bayābāñ aa jaa.e
kuchh isī tarah se hai yaad ki tum aa.e the
KHwab ki tarah se hai yaad ki tum aae the
jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai
zarre zarre ko tajalli ki KHabar hoti hai
aur jab nur ka sailab guzar jata hai
raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the
jaise gulshan mein dabe panw bahaar aati hai
patti patti ke liye le ke nikhaar aati hai
aur phir waqt wo aata hai ki har mauj-e-saba
apne daman mein liye gard-o-ghubar aati hai
kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the
jis tarah mahw-e-safar ho koi virane mein
aur raste mein kahin koi KHayaban aa jae
chand lamhon mein KHayaban ke guzar jaane par
samne phir wahi duniya-e-bayaban aa jae
kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.