KHwab
kyā kahūñ ḳhvāb-e-zindagī tujh se
vo zamāna bhī kyā zamāna thā
chāhatoñ ke kiran kiran lamhe
jab mirī aañkh meñ utarte the
fāsle fāsle na lagte the
kyā kahūñ zabt-e-hāl-e-ġham tujh se
aaj apnā na kal hī apnā hai
ye zamāna bhī kyā zamāna hai
ab ye aalam hai merī sub.hoñ kā
tujh ko kho kar sarāb shāmoñ kā
aks ban kar Thahar ga.ī huuñ maiñ
lamha lamha bikhar ga.ī huuñ maiñ
kya kahun KHwab-e-zindagi tujh se
wo zamana bhi kya zamana tha
chahaton ke kiran kiran lamhe
jab meri aankh mein utarte the
fasle fasle na lagte the
kya kahun zabt-e-haal-e-gham tujh se
aaj apna na kal hi apna hai
ye zamana bhi kya zamana hai
ab ye aalam hai meri subhon ka
tujh ko kho kar sarab shamon ka
aks ban kar Thahar gai hun main
lamha lamha bikhar gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.