KHwab-nagar
merā man ik ḳhvāb-nagar hai
mere man kī galiyoñ, bāzāroñ aur chaurāhoñ meñ
lafzoñ, rañgoñ aur ḳhushbuoñ kī
halkī halkī bārish hotī rahtī hai
merā man ik ḳhvāb-nagar hai
mere man meñ
chaah ke chashme
amn kī nahreñ
aas ke dariyā
pyaar samundar
har sū bahte rahte haiñ
jin meñ nahā kar
apne bhī begāne bhī
dānā.ī kī dhuup meñ leTe
sehr-zada se rahte haiñ
merā man ik ḳhvāb-nagar hai
mere man meñ
durveshoñ kā Derā bhī hai
is Dere par
shā.er, sūfī, pāpī, daanā sab aate haiñ
kuchh sapne vo le jaate haiñ
kuchh sapne vo de jaate haiñ
in sapnoñ kī dhartī se jab
ġhazloñ, nazmoñ, gītoñ ke kuchh
phuul khulīñ to barsoñ phir vo
ḳhvāb-nagar ko mahkāte haiñ
merā man ik ḳhvāb-nagar hai
mere man kī galiyoñ, bāzāroñ aur chaurāhoñ par
lafzoñ, rañgoñ aur ḳhushbuoñ kī
halkī halkī bārish hotī rahtī hai
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man ki galiyon, bazaron aur chaurahon mein
lafzon, rangon aur KHushbuon ki
halki halki barish hoti rahti hai
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man mein
chah ke chashme
amn ki nahren
aas ke dariya
pyar samundar
har su bahte rahte hain
jin mein naha kar
apne bhi begane bhi
danai ki dhup mein leTe
sehr-zada se rahte hain
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man mein
durweshon ka Dera bhi hai
is Dere par
shaer, sufi, papi, dana sab aate hain
kuchh sapne wo le jate hain
kuchh sapne wo de jate hain
in sapnon ki dharti se jab
ghazlon, nazmon, giton ke kuchh
phul khulin to barson phir wo
KHwab-nagar ko mahkate hain
mera man ek KHwab-nagar hai
mere man ki galiyon, bazaron aur chaurahon par
lafzon, rangon aur KHushbuon ki
halki halki barish hoti rahti hai
- Book : Samandar Aur Jazeere (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.