KHwab nahin dekha hai
maiñ ne muddat se koī ḳhvāb nahīñ dekhā hai
raat khilne kā gulāboñ se mahak aane kā
os kī būñdoñ meñ sūraj ke samā jaane kā
chāñd sī miTTī ke zarroñ se sadā aane kā
shahr se duur kisī gaañv meñ rah jaane kā
khet khaliyānoñ meñ bāġhoñ meñ kahīñ gaane kā
subah ghar chhoḌne kā der se ghar aane kā
bahte jharnoñ kī khanaktī huī āvāzoñ kā
chahchahātī huī chiḌiyoñ se ladī shāḳhoñ kā
nargisī āñkhoñ meñ hañstī huī nādānī kā
muskurāte hue chehre kī ġhazal ḳhvānī kā
terā ho jaane tire pyaar meñ kho jaane kā
terā kahlāne kā terā hī nazar aane kā
maiñ ne muddat se koī ḳhvāb nahīñ dekhā hai
haath rakh de mirī āñkhoñ pe ki niiñd aa jaa.e
main ne muddat se koi KHwab nahin dekha hai
raat khilne ka gulabon se mahak aane ka
os ki bundon mein suraj ke sama jaane ka
chand si miTTi ke zarron se sada aane ka
shahr se dur kisi ganw mein rah jaane ka
khet khaliyanon mein baghon mein kahin gane ka
subah ghar chhoDne ka der se ghar aane ka
bahte jharnon ki khanakti hui aawazon ka
chahchahati hui chiDiyon se ladi shaKHon ka
nargisi aankhon mein hansti hui nadani ka
muskuraate hue chehre ki ghazal KHwani ka
tera ho jaane tere pyar mein kho jaane ka
tera kahlane ka tera hi nazar aane ka
main ne muddat se koi KHwab nahin dekha hai
hath rakh de meri aankhon pe ki nind aa jae
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 61)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.